Topics
Oper ki
tafseel sey maloom hota hey ke kisi cheez ki hayat ka zamani rukh batin aur
makani rukh zahir hey. Hum jis cheez ko zahir kehtey hain es ke tamaam
naqsh-o-nigaar “makaniyat zindagi” par mushtamil hain lekin yeh jis bisaat par
qayam hain wo zamaniyat hey. Bagher zamaniyat ki bisaat ke Kainat ka koi naqsh
zahoor mein nahin aa sakta. Jab yeh maloom ho gaya ke in tamaam mazahir ki
bisaat zamaniyat hey jis ko hum maadi ankhon sey nahin dekh saktey tu yeh
tasleem karna parey ga ke tamaam mazahir ki buniyadein hamari ankhon sey makhfi
hain. Tasawuf mein zamaniyat ka dusra ka naam Nasma hey. Yeh aisi roshni hey
jis ko khala keh saktey hain aur kahla aik wajood rakhta hey. Dar’asal yeh aik
harkat hey jo Azal sey Abad ki taraf harkat kar rahi hey. Es safar ke peheley
daairah rawaani ka naam “Aalam Malakoot” hey jis ko manfi ansariyet ka Aalam
keh saktey hain. Hum pehley Nasma , mufarid aur Nasma murakab ka tazkirah kar
chukey hain. Zamaniyat ki tarkeeb Nasma mufarid sey hoti hey aur makaniyet ki
tarkeeb Nasma murakab hey. Farishtey, jinaat aur in ke Aalam wo naqsh-o-nigaar
hain jo zamaniyat ki tarkeeb par mushtamil hain lekin Aalam-e-Maadi aur es ke mazahir
makaniyat ki tarkeeb ka natijah hain. kahla ki akhri harkat ka naam zaman ya
Nasma mufrid hey aur fasla ki dohree harkat ka naam “Makaan” ya Nasma murakab
hey. Awal awal tu kahla mein jo lamehsoos harkat waqey hoti hey wohi “ Mowalieed
Talasaah” ki asal hey. Es harkat mein jis qadar tezi e raftaar peda hoti hey es
hi qadar Nasma ka hajoom barh jata hey. Yeh hajoom do maratib par munqisam hey.
Aik martabah “Ain” dusra “Makaan”. Ain ko maahiyat aur makaan ko mazhar keh saktey
hain. Ain gurez (manfi) hey. Makaan kashish musbat hey. Jab dono ki ijtimayet mein
kashish ka galbah hota hey tu “Allam-e-Nasoot” (maadi duniya) ki shkalein waqoo
mein aati hain. In ko maadi jism kaha jata hey. Lekin jab gurez ka galbah hota
hey tu malakooti shaklein wajood mein aati hain. Malakooti makhlooq ke do
mratab hain. Aik martabah mein Ain ki sifaat ka hajoom Imkaan ki sifaat ke hajoom
par gaalib rehta hey. Es martabah ki makhlooq ka naam malaikah hey. Dusrey martabah
mein Imkaan ki sifaat ka hajoom Ain ki sifaat ke hajoom par gaalib aa jata hey.
Es martabah ki makhlooq ka naam jinaat hey. Nasma jin do rukhon par mushtamil
hey, in mein aik rukh gurez hey. Gurez ki tafseel yeh hey ke insan ki zaat jo roshniyon
ka majmoa hey, es ke andar do harkaat musalsal waqey hoti rehti hain. Aik
harkat zaat ke anwaar ka kharij ki taraf mutawatir safar kartey rehna. Dusri
harkat kharij sey nehron ki roshiniyan barabar apney andar jazb kartey rehna
hey. Goya Nasma ki do sifaat hain. Aik malakooti dusri bashari. In dono’n
sifaat mein har sifat aik asool ki paband hey. Koi fard kharji duniya mein jitna
mustaghraq hota hey es ke nuqtah e zaat ki roshniya’n itni hi zaaiya ho jati hain.
Yeh roshinyo’n ke gurez ka pehloo hey. Yeh wohi roshniya’n hain jin ki sifat
“malakiyat” hey. In roshniy’on ke zaiya honey sey malakiyat ki sifat bhi zaaiya
ho jati hey. Nuqtah zaat mein roshniyon ki aik muayan miqdaar hoti hey jo malakiyat
aur bashariyat ka tuwazan qayam rakhti hey. Agar es roshni ki miqdaar kam ho
jaye gi tu hewani aur maadi taqazey barh jayin gey. Malakiyat ki sifat Aalam-e-Amr
mein saood karti hey, es liye ke es sifat ka markaz “Aalam-e-Amr” hey. Es ke baraks
jab malakiyet ki sifat kam ho jati hey tu maadi taqazey fard ko asfal mein khench
latey hain. Wo jitna asfal ki taraf barhta hey itna hi kasafato’n aur saqal
mein izafah ho jata hey. Bilfaaz degar es ki tawajo “Aalam-e-Amr” sey hat kar
asfal mein muqayed ho jati hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi