Topics
Quran
Pak mein Allah Taala ney farmaya hey:
ھُوَ الَّذِیْ یُصَوِّرُ
کُمْ فِی الْاَرْحَاْمِ کَیْفَ بَشَاءُ
Is ayat
mein Allah Taala ney juzv latujza ka tazkirah kiya hey aur bataya hey ke hum ne
laa sheyee ko shakal-o-surat di hey. Rehum maadar mein aik aisi tasweer banaayi
hey jis ka Ilm hamarey siwa kabhi kisi ko na hua tha.
Allah
Taala ney rehum maadar mein aisi tasweer kashee ki hey jo Amr Rabbi ki hesiyat
mein na’qaabil-e-taqseem juzv hey. Yeh aik aisa aks hey jis ko Allah Taala ke iraadey
ney har fard ke idraak sey roshnaas kar diya hey. Dar’asal Allah Taala ka har
hukum fardan fardan tammam makhlooq ke key zehan mein shakal-o-surat ban kar
sama gaya hey. Yani jo shakal bhi Allah Taala ney banayi hey wo “Joo” mein wajood
rakhney waaley aRabb do aRabb afrad ke idraak mein mojood hey.
Allah
Taala ke har hukum ki tasweer jo ke har zarreh mein naqsh hey es hi naqsh ke idraak
sey koi admi apni sawaari ke aisey ghorey ko jis ki shakal-o-surat ka koi ghora
saari duniya mein mojood na ho achi tarah pehchanta hey. Aik maa apney betey ko
karoro’n insano’n mein talash kar leti hey aur betey ke senkro’n dost es ke makhsoos
khad-o-khaal dekh kar es ko pehchaan letey hain. Allah Taala ke hukum ki khaas
shakal-o-shabaahat jo aik bachey ki Rooh mein pewast hey es bachey ki nigah mein
kabutar, mor ya fakhtah ki shanakht ka zariyah ban jati hey. Koi bachah sitaarey
ko laakho’n meel ke faasley sey dekh kar sitarah ke deta hey. Es tarah har
cheez ki shakal-o-surat mojoodat ke har fard ki tabiyat mein naqsh aur pewast
hey. Koi surat saalha saal baad bhi jab kisi fard ki aankho’n ke samney apney khad-o-khaal
mein aati hey tu wo es ko Amr Rabbi, Rooh ya juzv la tajzaa ya insan ka naam
ley kar bey saakhtah pukaar uthta hey….. Mein tujhey khoob pehchanta hoon, tu
Zaid hey tu Mehmood hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi