Topics
Oper kay mazmon kay samajhney kay
leay harkat dori ki sharah zaroori hey. Kainat ek aisa nuqtah hey jisay hamein
apnay zehan mein farz kerna parta hey. Yeh hi Kainat ki mojodgi ka raz hey. Koi
nuqtah riyazi danon ki istalah mein na lambayee raktha hay, na chorrayee raktha
hey aur na gherayee raktha hey. Wo sirf shaoor ki takhleeq hey. Yeh hi nuqta e
shaoor say musafirat ker kay idraak bilhawas banta hey. Es kay idraak balhawas
ban’nay ka tareeqah bohat sadha hey. Pehley yeh samjhna bohat zaroori hey ke
shaoor finafsi kiya cheez hay? Wo khud ko qayam raktha hey aur apni yad dahani
mein masroof rehta hey. Yani shaoor musalsal daawa kerta rehta hey mein yeh
hoon, mein wo hoon, mein chand ko dekh raha hoon, mein Sooraj ko dekh raha
hoon, mein Sitaron ko dekh raha hoon, Meray hath
mein kitab hay, Meray hath
mein qalam hey wagheira wagheirah. Yeh tamam daaway shaoor ki banaee hoyee
tasweeren hen. Wo in tasweeron ko jis tareqay say istamal kerta hey es tareeqay
kay bohat say naam hen. Msalan es tareeqah ka ek naam nigha hey. Yeh bayek waqt
do markzon mein dekhtee hey. Es markaz ki ek satah ghaib hoti hay, doosri
shahood. Ghaib ki satah nigha ki infradiyet hey. Shahood ki satah nigha ki
ijtmayet. Darhaqeeqat in dono sathon mein ek hi nigha kam ker rahi hey. Agar
hamari ankhon kay samnay badam ka ek darakht ho tu hamara yeh daawa hota hey ke
yeh badam ka darakht hey. Phir hum ek aur shaks say es darkht kay baray mein
pochhtay hen tu wo bhi yeh hi kehta hey ke yeh badam ka darkht hey. Hum lakhon
Admiyon say es darakht kay baray mein istafsar karien gay tu jawab ek hi milay
ga ke yeh badam ka darakht hey. Es tajarbah say yeh haqeeqat munkashif ho jati
hey ke in lakhon Admiyon mein dekhnay wali nigha ek aur sirf ek hey. Agar
dekhnay wali nigahen do hoten tu in dono nigahon mein her nigha mukhtalif
dekhtee kiyonke do hona mukhtalif hona hey. Yeh nigha kuch aur dekhtee aur wo
nigha kuch aur dekhti. Lekin tajarbah dekhnay wali nigha kay alag alag honey ki
shahadat nahin deta. Es leay yeh kehna parrey ga ke yeh nigha shaoor ki ek tarz
hey ya ek satah hey aur yeh satah ijtmaae hey jis mein poori Kainat mushtarik
hey. Es mushtarik satah ko hum idraak bilhawas kehtey hen. Yeh hi mushtarik
satah Kainat hey. Zahir hey ke yeh mushtarik satah fard hi ka juzv hey. Fard
say alag koi cheez nahin hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi