Topics
Hum Nasma kay bayan mein Nasma kay
numbron ka tazkirah ker chkay hen. In lashmar numbron mein her number roshni
kay ek zaviyeh ki haisiyat raktha hey. Roshni ka her zaviya oper bayan kerdah
kashish aur guraiz say bana hey. Her fard ki zaat kashish aur guraiz kay
zaviya ki hasti hey. Her fard es zaviya per ek mafrozah nuqtah banata hey. Her
nuqtah apni nou kay tamam nuqton say munsalik hey aur es kay ander nou kay
doosray nuqton kay sath sifat ka ishtrak paya jata hey. Yehi sifat ka ishtrak
es ko nou kay aur nuqton say mushabah dkhata hey. Agar hum in nqton ki qadrein
aur tafseel karien tu her nuqtah ko ek mehal wuqoo kahien gay. Yeh mehal wuqoo
do hasiyaton mein qayam rehta aur daur kerta hey. Es ka pehla daur mehvari gardish
hey jo es ey muqayad rakhtee hey. Aur kisi nou kay doosray nqton mein jazb
nahin honey dete. Doosri gardish toolani hey. Yeh toolani gardish es ko Kainat
kay doosray zaviyon say musalik kartee hey. Goya yeh tamam nuqtay (zaviyeh)
roshni kay taaron mein bandhey hoeay hen aur in hi taaron per Kainat ki tarteeb
ka qayam hey.
Mehwari gardish ka ek rukh nuqtah
ki infaradi heyat ka aur doosra rukh nuqtah ki nouyee heyat ka record hey.
Toolani gardish ki ek simt ek nou kay afrad ko doosri nou e kay afrad say
marboot rakhtee hey aur toolani gardish ki doosri simt es haqeeqat say mutsal
hey jis ko Wajibul Wujood kehtey hen. Yeh haqeeqat Allah Taala ki sifat zaatiya
per mushtamil hey.
Jo roshniyan mehvari gardish ki
binna hen, in ka naam Nasma hey aur jo roshniyan toolani gardish ki binna hen,
in ka naam Noor hey. Ksi zaat mein yeh roshniyan zaat ki markaziyat hoti
hen. In roshniyon mein her ek kay do rukh hen aur her rukh nizam e Kainat ka
shaoor hey.
Missal:
Jab hum koi khoshboo dar mashroob
tayar kartey hen tu pani, shakr, rang aur
khoshbo mila ker botlon mein bher letay hen. Agar bottle ko wo roshni farz ker
len jo hamari ankhon kay samnay hey tu pani ko shaoor chahrum, rang ko shaoor
soyam, shakar ko
shaoor doyem aur khoshbo ko shaoor awal tasawur ker saktey hen. Jis tarhan hum
zahiri hawaas say pani, rung, shakar aur
khoshbo ko mehsoos kartey hen, es i tarhan baatni hawaas say in char shaooron
ka idraak aur ehsas ker saktey hen.
Shaoor kay do rukh hen. Ek rukh Mubda
hey jis ko dakhli ya baatni rukh kehna chaheay. Es hi rukh ka doosra naam fard
hey. Jitni makhlooq fard ki soorat mein ya zarrey ki soorat mein wujood rakhtee
hen, wo sub es hi shaoor ki hudood mein qayam hen. Shaoor kay dono rukhon mein
sirf Nazir aur Manzoor ka farq hey. Shaoor ki ek halat wo hey jis ko fard
mehsoos kerta hey. Doosri halat wo hey jo khud ehsas hey. Hum es hi ko Kharji
Duniya kehtey hen. Ta hum kisi sheay ka kharij mein mojood hona es waqt tak
namumkin hey jab tak es sheay ki mojodge fard kay dakhil mein na ho. In halat
kay peish nazar yeh manna parta hey ke fard ki dakhli duniya hi yaqeeni aur
haqeeqi hey. Aur es hi duniya ka pertou kharij mein nazar aata hey. Jab hum
ehsas ko taqseem kartey hen tu es ehsas ka ek jozv royat ya dekhna hey jo zahir
mein shakl o sort aur khad o khal ki mojodge kay bgher mumkin nahin. Ehsas ki
taqseem kay bad royat kay alawa aur bhi ajza baqi rehtey hen jo weham, khayal
aur tasawur kay naam say mosoom keay jatay hen, Tassawuf mein in sub ka
majmoyee naam Roya hey. Goya ehsas ko Royat aur Roya do
ajza mein taqseem ker saktey hen. Chunachey yeh Kainat in hi do ajza ka
tarkeebi majmoawa hey.
Agar Duniya ki tamam mojoodat mein
her cheez ko ek zarra samajh ker es ki hasti kay ander aur es ki hasti kay bahr
sakht ka jayezah lea jaeay tu asal mein ek Noor milay ga jis kay ander zinadgi
ki tamam qadrien milen gi. Tassawuf ki istalah mein es Noor ki thereek ka naam
Bidaat hey. Bidaat ek tarhan kay Hayati Dabao ka naam hey jo shaoor awal say shroo
ho ker shaoor chahrum tak asr pazeer hota rehta hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi