Topics

Amal Istarkha

 

Lateefah nafsi ki roshni mein amal istarkha ka pehla qadam samaat ka harkat mein aa jana hey. Yeh qadam insan ya kisi Zee Rooh ke andar ke khayalat ko aawaaz bana kar sahib shahood ki samaat tak pohncha deta hey. Tafheem ke sabaq mein es shahood ko taqweyet pohnchaney ke liye kayee maadi cheezein bhi istemaal ki jati hain jin mein sey aik siyaah mirch ka safoof hey. Es safoof ko pani ke aik do qatro’n ke zariye rooi ke chhotey sey phoye par lappet kar kaano’n ke surakho’n mein rakh letey hain. Muraqbah ke waqt bhi aur istarkha ke waqt bhi.

Amal istarkha ka dusra qadam yeh hey ke lateefah nafsi ki roshniya’n shaamah aur laamsa ko tarteeb dey sakti hain aur sahib-e-shahood kisi cheez ko khuwah es ka fasla lakhon baras ki roshni ke saalo’n ka ho, soong sakta hey aur chhoo sakta hey. Roshni ki raftaar fi’second do lakh (2 Lakh) meel sey kuch ziyadah hoti hey. Lateefah nafsi ki roshniyan barhaaney mein kayee tarah ki fikrein khas tor sey kaam mein laai jati hain. Shugal aur fikr ki do aik misaalein dena zaroori maloom hota hey.

No.1: Alif Anwar jin ke tazkirey par yeh tam’aam baab mushtamil hey, Allah Taala ki aik sifat hey aisi sifat jis ka tajurbah hum zaat insani mein kar saktey hain. Yehi sifat insan ka lashaoor hey. Amoomi tarzo’n mein lashaoor amaal ki aisi buniyado’n ko qraar diya jata hey jin ka Ilm aqal insani ko nahin hota. Agar hum kisi aisi buniyad ki taraf purey gor-o-fikar sey mayel ho jaayin jis ko hum ya tu nahin samajhtey hain ya samajhtey hain tu es ki maa’nwiyet aur mafhoom humarey zehan mein sirf “la” ki hoti hey yani hum es ko sirf nafi tasawur kartey hain.

Har ibtida ka qa’noon looh-e-mehfooz ki ibarato’n mein aik hi hey aur wo yeh hey ke hum jab ibtida ki maa’nwiyet sey behas kartey hain ya apney zehni mafhoom mein kisi cheez ki ibtida ko samajhney ki koshish kartey hain aur es waqt humarey tasawur ki gehraiyo’n mein sirf “la” ka mafhoom hota hey yani hum ibtida ke pehley marhaley mein sirf nafi sey muta’rif hotey hain haa’lan ke aqal ki aam qadro’n ney es muaani ko samajhney ki koshish hi nahin ki hey. Lekin looh-e-mehfooz ka qa’noon humein es haqeeqat ko puri tarah samjhaney aur tajziyah karney ka mutalibah karta hey. Es “LA” ka tajziyah kiye bagher hum es baat ko samajhney sey qaasir hain.

Har wo haqeeqat jis sey hum kisi tarah , chahey tohmaati ya khayalati tarzo’n par ya taswurati tarz par roshnas hain aik hasti rakhti hey, khuwa wo hasti “LA” (nafi) ya esbaat ho. Jab hum looh-e-mehfooz ke qa’noon ki tarzo’n ko samajh chukey hoon tu kisi haqeeqat ko khuwah wo nafi ho ya esbaat wo aik hi tasawur ki roshni mein dekhein gey. Jab hum esbaat ko ‘hey’ kehtey hain yani es ko aik hasti samajhtey hain tu ‘nafi ko nahin hey’ kehtey hain yani es ko bhi aisi hasti qaraar detey hain jis ke honey ka Ilm humain haasil nahin. Goya la’ilmi ka naam nafi rakhtey hain aur Ilm ka naam esbaat. Jis ka naam hum esbaat ya Ilm rakhtey hain wo bagher es ke ke hum la’ilmi sey waaqfiyat rakhtey hoon humari shanakht mein nahin aa sakta. Bilfaaz degar pehley hum ney la’ilmi ko pehchana, phir Ilm ko.

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi