Topics
Yahan es bat ki wazahat zaroori
hey ke Kainat kis tarhan bani hey aur Makan o Zaman ka Kainat ki takveen say
kiya taluq hey.
Kainat ki do satah hen. Agar hum
ek satah ko Kul Zaat (Internal Self) khen tu doosri satah ko Ek Zaat (Personal
Ego) khen gay. Kul Zaat chotay say chotay zarat aur barey say barey ajram ka
baset (Base Line) hey. Yani chotay say chhota zara aur barey say barey Kur’rah
jin roshniyon ka majmooa hey wo sari roshniyan Kul Zaat kay ajza hen. Agar hum
in roshniyon ko dekh saken tu yeh taswurat ki soorat mein nazar aayen gey. Yeh
hi taswurat Kul Zaat say Yek Zaat mein muntaqil hotay hen. In ka muntaqil hona
Kul Zaat per munhasir hey. Kul Zaat jin tasawurat ko Yek Zaat kay supurd ker
dey. Yak Zaat unhen qabool karney per majboor hey. Msalan gulab ko Kul Zaat say
wahee tasawurat muntaqil hotay hen jo gulab ki shakl o soorat mein zahoor patay
hen. Es i tarhan insan ko bhi Kul Zaat say wahee tasawurat miltay hen jo insani
shakl o soorat ka mazhar hon.
Insan Ki
Sakht Kiya Hay?
Woh aisey tasawurat ka majmooa hey
jo Kul Zaat mein Ek Zaat ka shaoor hasil kartey hen. Insan ka Lashaoor (Kul
Zat) khud apnay jism ki takhleeq kerta hey. Aam zuban mein jis ko Madah
(Substance) kaha jata hey wo Lashaoor ki machine ka bana hua hey. Samjha yeh
jata hey ke kharij say jo ghiza insan ko miltee hey es say khoon aur jism banta
hey. Yeh qayaas sirey say ghalat hey. Darasal insan ka Lashaoor (Kul Zaat)
tasawurat ko roshni say Madeh ki shakl mein badal dalta hey. Yeh hi madah
jismani khdokhal aur saqal ki soorat mein mutarif hota hey. Jab Lashaoor kisi
wajah say tasawurat ko madeh mein muntaqil karney ka ahtimam nahin kerta tu
maut waqey ho jati hey.
Insan ko apni zinadgi mein ek say
zyadah martabah sakht tareen bemariyon say sabqah parta hey. Es Zamaney mein
ghiza ya tu kum say kum reh jati hey ya bilkul mafqood ho jati hey lekin maut
waqey nahin hoti. Es kay yeh maaney hoey ke jismani machine zinadgi ko chalanay
ki zumaidar nahin hey. In mushahidat say yeh bat tehqeeq ho jati hey ke kharij
say insani jism ko jo kuch milta hey wo zinadgi ka moa’jab nahin hey. Zinadgi
ka moa’jab sirf Lashaoor ki karsaazi hey.
Kul Zaat ko samajhney ki taarzein
bohat hen. Kul Zaat ki sifat Lashmar hen. Insan peda hota hay, wo chand maah ka
hota hey. Phir saa’th, sat’er, as;si
aur naw’wey saal ka ho jata hey. Es kay jism men, es kay khayalat mein, es kay
Ilm o amal mein her lamhey taghayur hota hey. Es kay jism aur Ilm o khayal ka
her zarra badal jata hey lekin wo shaks nahin badlta. Wo jo kuch chnd mah ki
umar mein tha wo hee naw’wey saal ki umar mein hota hey. Agar es ka naam Zaid hey
tu es ko Zaid hi kahen gay. Wo hameshah Zaid hi kay naam say yad kiya jaeay ga.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi