Topics
Tarjuma : Jab woh kisi
cheez ke karne ka iradah karta hai tu kehta hai' ho' aur woh ho jati hai.
Is ayat par ghhor kya
jaye tu lafz ke andar jo raaz hain un razon ka aur un razon ko harkat mein
laane ka inkishaaf ho jata hai. Jab Allah Taala farmatay hain”Kun” tu un
ka mukhatib koi shye hoti hai jo abhi taq zahoor mein nahi aayi lekin jab usay
zahoor mein anay ka hukum diya gaya tu yahi hukum es shye ke andar mechaniki
harkat ban gaya. Ghhor talabb yeh hai ke shye ke zahoor ki mahiyet aur tarz kya
thi. Yeh mahiyet woh tasawurat hain jo Allah Taala ke iraday mein mojood hain.
Lekin un
ki tarz mein koi
tarteeb nah thi. Tarteeb nah hona yeh maienay rakhta hai ke koi shye
latanahiyet mein phaily hoyee hai. Jab iradah ney shye ke tasawwur ko
latanahiyet se akhaz kya tu shye ki aik soorat ban gayi. Ab shye ki soorat aik
Ilm ban gayi aur Ilm lafz hai. Yani jis waqt shye ke majmoyee tasawurat Ilm ka
sancha ban gaye tu lafz kehlaye. Phir shye ki hasti lafz ki girift mein aa
gayi. Aur lafz usay parda ( Kitaabul Mubeen ) se bahar khech laya.
Lafz Allah ki teen
qismein hain. Do qismein aisi hain ke un ko baraye naam lafz kaha ja sakta hai.
Yeh do qism ke lafz zahoor ke baad istemaal hotay hain maslan achcha ya bura.
Achcha aisa lafz hai jo taied karta hai, bura aisa lafz hai jo tardeed karta
hai. Dono alfaz mein tasawurat ka aisa majmoa posheeda hai jo zahoor mein aa
chuka hai. Ab iradah mein aisay tasawurat mojood nahi hain jin ko zahoor mein
aana ho. Yani iradah mein tasawwur ki gunjaish nahi hai. Un dono qism ke alfaz ka
naam Khalq ya kaayenaat hai. Yeh dono Amr ke shobay se alag hain. Quran Pak mein
aaya hai :
ھُوَ الْاَوَّلُ ھُوَ الْاٰخِرُ ھُوَ
الظَّاھِرُ ھُوَ الْبَاطِنُ
Un
maino mein Allah Taala Muheet Kul hai. Aur wujood mudrik hai. Hum zahir ko
dekhte hain batin ko nahi dekhte. Jo kuch hum dekhte hain woh tu dekhte hain
lekin yeh nahi dekhte ke kis se dekh rahay hain. Hum idraak karte hain lekin
yeh idraak nahi karte ke kis se idraak karte hain. Agar hum yeh idraak kar len
ke kis se idraak kar rahay hain tu Allah Taala ka idraak kar len ge. Es hi liye
hamari feHum sirf Khalq mein kaam karti hai. Amr taq es ki rasai nahi hoti. Hum
alfaz ko kisi cheez ke radd mein istemaal karte hain ya qubool mein istemaal
karte hain jis lafz ko radd mein es istamal kya
jata hai. Es lafz
mein radd kiye hue tasawurat kaam karte hain. Jis lafz ko qubool mein istemaal
kya jata hai es mein qubool kiye hue tasawurat kaam karte hain. Yeh dono qism ke
alfaz Khalq hain kyunkay tasawurat se labraiz honay ke baad zahoor mein aa
chuke hain.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi