Topics
Hum
ooper keh chukey hain ke lateefah nafsi ki roshniya’n mojodaat ke har zarrey ka
ahaatah karti hain. Es hi lateefah nafsi ki aik shuaa ka naam baasirah hey. Yeh
shuaa Kainat ke purey daairey mein daur karti rehti hey. Yun kehnea chahiye ke tam’aam
Kainat aik dairah hey aur latefah nafsi ki roshni aik charaag hey. Es charaag
ki lo ka naam baasirah hey. Jahan es charaag ki lo ka aks parta hey wahan ird
gird aur qurb-o-jawaar ko charaag ki lo dekh leti hey. Es charaag ki lo mein jis
qadar roshniya’n hain in mein darjah bandi aur tanavo paaya jata hey. Kahein lo
ki roshni bohat halki , kahein halki, kahein tez aur kahein bohat tez parti
hey. Jin cheezon par lo ki roshni bohat halki parti hey, hamarey zehan mein in cheezon
ka khayaal ronuma hota hey. Jin cheezon par lo ki roshni tez parti hey, humarey
zehan mein in cheezon ka tasawur jagah kar leta hey aur jin cheezon par lo ki
roshni bohat tez parti hey in cheezon tak humaari nigah pohnch kar in ko dekh
leti hai. Es tarah lateefah nafsi ki roshniyo’n ke chaar ibtidaai marhaley
hotey hain. In mein sey har marhalah lateefah nafsi ki roshniyo’n ka aik qadam
hey. Shahood kisi roshni tak khuwah wo bohat halki ho ya tez nigah ke pohnch
janey ka naam hey. Shahood nafsi aik aisi salahiyet hey jo halki sei halki
roshni ko nigah mein muntaqil kar deta hey ta ke in cheezon ko ja ab tak mehaz
to’wahum thein. Khad-o-khaal, shakal-o-surat, rang aur roop ki hesiyat mein dekha
ja sakey.
Rooh ki
wo salahiyet jis ka naam shahood hey wehum ko, khayaal ko ya tasawur ko nigah tak
laati hey aur in ki juziyaat ko nigah par munkashif kar deti hey. Rooh ki yeh
salahiyet jab lateefah nafsi ki hado’n mein ood karti hey aur lateefah nafsi ki
roshniyo’n mein qanooni asool ban kar ronuma hoti hey tu wo aisi sharaait puri
karti hey jo beydaari ki hisiyaat ka khaasah hain aur in khaaso’n ke mazhar ka
naam shahood nafsi hey. Jin hado’n mein shahood nafsi amal karta hey in hado’n
ka naam Jovayah hey. In hado’n ki juziyaat beydaari ka nasab-ul-ain, beydaari ki
harkatein, beydaari ka mafhoom aur beydaari ke natayej peda karti hain. Yeh
marhalah shahood nafsi ka pehla qadam hey. Es marhalah mein saarey amaal
baasirah ya nigah sey ta’luq rakhtey hain. Es shahood ki mazeed taraqi yaaftah
shaklein wohi haalat peda karti hain jo beydaari ke Aalam mein baasirah ke
alawah aur chaar hisiyaat jin ke naam shaamah, samaat, zaaiqah aur laamsah mein
peda karti hain.
Jab lateefah nafsi ki roshniya’n maz’roob ho
jati hain yani jab baasirah ki kisi hiss ka baar baar eáadah hota hey tu darjah
badarjah baqi hissein tarteeb paa jati hain. Es tarteeb ka daar-o-madaar
lateefah nafsi ki roshniyo’n ke ziyadah sey ziyadah ho janey mein hey. Yeh
izaafah ziyadah sey ziyadah us waqt hota hey jab koi shakhs beydaari mein zehani
rujhanat ko musalsal aik hi nuqtah par markooz karney ka aadi ho jaaye. Aur yeh
cheez amal istarkha ke pey dar pey karney sey haasil ho jati hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi