Topics

ILM E LADUNI

 

In hi asma ka Ilm Adam Alehem Salam ko diya gaya tha. In hi asma ka Ilm niyabat ki wadiyat hey. In hi asma ke Ilm ko tasawuf ki zubaan mein Ilm e Ladu’ni kehtey hain.

وَعَلَّمَ اٰدَمَ الْاَسْمَآءَ کُلَّھَا

Jab Allah Taala ney Ilm ki taqseem ki tu sab sey pehley apni sifaat ke naamon ka ta’ruf karaya. In hi naamo’n ko asmaae sifaati kaha jata hey. Yehi naam wo Ilm hain jo Allah Taala ke Ilm ka aks hain. Sifat ki ta’reef ke baarey mein yeh jaan’na zaruri hey ke Allah Taala ki har sifat ke sath Qudrat aur Rehmat ki sifaat bhi jama hain maslan Rabaniyat ki sifat ke sath Qudrat aur Rehmat bhi shareek hain ya Samadiyat ki sifat ke sath Qudrat aur Rehmat shaamil hain. Isi tarah Ahdiyat ki sifat ke sath Qudrat aur Rehmat ki sifat ka hona zaruri hey. Yani Allah Taala ki koi sifat Qudrat aur Rehmat ke bagher nahin. Jab hum Allah Taala ko Baseer kehtey hain tu es ka mansha yeh hota hey ke Allah Taala Baser honey ki sifat mein Qaadir aur Raheem bhi hey yani issey Baseer honey mein Kaamil Qudrat aur Kaamil Khalqiyat ki iste’taat haasil hey.

 

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi