Topics

Amr aur Khalq ke Ajza


          Allah Taala ka irshad hay:

ھَلْ ۡ اَتٰی عَلَی الۡاِنۡسَانِ حِیۡنٌ مِّنَ الدَّہۡرِ لَمۡ یَکُنۡ شَیۡئًا مَّذۡکُوۡرًا (Sura Dahar. Ayat-1)

Tarjumah: Kabhi hua hay insan per ek waqfa zamaney mein jo na tha kuch cheez qabil e zikr kiya hua.

Number 1. Her lazaman hay. Hum dahar ko Idraak e Ilahiya keh saktey hain. Yeh latanahiyet hay.

Number 2. Waqt Kainat ka waqfa hay aur Kainat ko muheet hay. Yeh Azal ta Abad hay. Huzoor Alleh Salato Vasalm ki hadees hay. لِیْ مَعَ اللّٰہِ وَقْتُٗ . Es hadees mein Kainat hi ke waqt ka tazkirah hay.

Kainat se mawara jo satah hay es ko Allah Taala ne dahar (Amar) Farmaya hay. Yehi satah lazaman hay. Kainat ki udood mein es i satah ko Huzoor Alleh Salato Vasalm ne “Waqt” ka naam diya hay. Yehi satah zaman hay. Afrad Kainat mein es ko ‘Heen’ ke lafz se tabeer kiya gaya hay. Yeh satah khud muzahira nahin hay balkey muzahir ki asaas hay. Ooper ki ayat mein Allah Taala ne es hi mafhoom ki taraf ishara farmay hay:

Number 3. (Sura Rehman- Ayat 14) خَلَقَ الْاِنْسَانَ مِنْ صَلْصَالٍ کَالْفَخَّارِ

Tarjumah: Banaya admi khankhanati matti se jaise theekra

Numbr 4. (Sura Dahar- Ayat 1) ھَلْ اَتیٰ عَلَی الْاِنْسَانِ حِیْنُٗ مِّنَ الدَّھْرِ لَمْ یَکُنْ شَیْعًا مَّذْ کُوْراً

Tarjumah: Kya nahin pohncha insan per ek waqt jo thaa shea (Tasawr) baghair takrar kiya hua (be tarteeb).

Number 5. (Sura kahaf. Ayat 37) خَلَقَکَ مَنْ تُرَابٍ ثُمَّ مِنْ نُّطْفَۃٍ

Tarjumah: Banaya tujh ko matti se phir boond se.

 Number 6. (Sura Dahar. Ayat 2) اِنَّا خَلَقْنَاالْاِنْسَانَ مِنْ نُّطْفَۃٍ اَمْشَاجٍ نَّبْتَلِیْہِ فَجَعَلْنٰہُ سَمِیْعًا بَصِیْراً

 Tarjumah: Hum ne banay admi ek boond se, palat’tey rahey es ko phir kar diya sunta dehkta.

Allah Taala ne mitti ko baj’ti aur khankhanati farmaya hay. Yani Khala matti ke her zarey ki nathur hay. Es hi khala ka naam ‘Heen” liya hay. Irshad hay hum ne insank ko phir dhekta sunta bana diay. Murad yeh hai ke khala mein hawas peida kar diye. Yeh hawa wo boon hain jis ka tazkirah Nutafa ke lafz se kiya hay. Khala Zaman Ghair Musalsal hay, Khala Noor hay aru boon Nasma n hay. Boond ke maani koyee jismiyet nahin hay balkey wo ek Nuqta Maskar hay. Es hi nuqta mein tasawurat jama hotey hain. Farmay hay palat’tey rahey es ko. Goya jo tasawurat Masdar itlaat ( Dahar) se khala (Heen) ko hasil hoyee n mein tarteeb qayam ki gayee hai. Es hi tarteeb ne hawas ya mazahir ki shakal ikhtiyat kar li.

Quran Pak mein Kitabul Mubeen ka tazkirah hay. Kitabul Mubeen hi wo ghaib hay jis ko hum mustaqbil ka naam dete hain. Yeh azal ta Abad ki mukamal tasweer hay aru zahor ka mubda’a hay. Jab hum lafz Abad zaban se ada karte hain tu yeh ek hi lafz azal ta Abad ke tamam tasawurat ka majmooa hay. Lafz zahoor hay aru lafz ke andar makhfee tasawrat ghaib hain. Lafz zehan ki ek harkat hay. Es harkat mein teen qism ki shaua’en markooz hoti hain.

1-    Hissayat ki shua’en

2-    Motaqidat ki shua’en

3-    Taghayurat ki shua’en

Hisyat ki shua’en mufrid aur moataqidat ki shua’en murakab hoti hain. mufrid o murakab shua’en mil ker taghayurat ki shua’en ban jati hain. Taghayurat hi ki shua’on ka naam zahoor Kainat hay.

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi