Topics
Makhlooq
ki saakht mein Rooh ke teen hissey hotey hain……. Rooh-e-azam, Rooh-e-insani, Rooh-e-hewaani.
Rooh-e-azam
Ilm waajib ke ajza sey murakab hey.
Rooh-e-insani
Ilm wehdat ke ajza sey banti hey aur
Rooh-e-hewaani
“Joo” ke ajzaaye tarkeebi par mushtamil hey.
Rooh-e-azam
ki ibtida lateefah akhafa aur intiha lateefah khfi hey. Yeh roshini ka aik
daairah hey jis mein Kainat ki tammam ghaib ki maloomat naqsh hoti hain. Yeh
wohi maloomat hain jo Azal sey Abad tak ke waqiaat ke mitan haqeeqi ki hesiyat
rakhti hain. Es daairey mein makhlooq ki maslihato’n aur israr ka record
mehfooz hey. Es daairah ko Sabtah kehtey hain.
Rooh insani
ki ibtida Latifa e sirri hey aur intiha latfiah roohi hey. Yeh bhi roshini ka
aik daairah hey. Es daairey mein wo ahkamaat naqsh hotey hain jo zindagi ka
kirdaar bantey hain. Es daairey ka naam “Ayaan” hey.
Rooh
hewaani ki ibtida latifah qalbi aur intiha latifah nafsi hey. Yeh roshini ka
teesra daairah hey. Es ka naam “ joya” hey. Es daairey mein zindagi ka har amal
record hota hey. Amal ke dono hissey jin mein Allah Taala ke ehkaam ke sath jin-o-ins
ka ikhtiyaar bhi shaamil hey juzv dar juzv naqsh hotey hain.
Roshini
ke teeno’n daairey teen oraaq ki tarah aik dusrey ke sath pewast hotey hain. In
ka majmoyee naam rooh, Amr rabbi, juzv latujza ya insan hey.
Lateefah
es shakal-o-surat ka naam hey jo apney khad-o-khaal ke zariyey maani ka
inkishaaf karta hey. Maslan shama ki lo aik aisa lateefah hey jis mein ujaala,
rang aur garmi teeno’n aik jagah jama ho gaye hain. (in ki tarteeb sey aik
sholah banta hey jo shahood ki aik shakal hey) in teen ajza sey mil kar shahood
ki aik banney wali shakal ka naam sholah rakha gaya hey. Yeh sholah jin ajza ka
mazhar hey. In sey har juzv ko aik lateefah kahein gey.
Lateefa
No.1: sholah ka ujaala hey.
Lateefa
No.2: sholah ka rang hey.
Lateefa No.3:
sholah ki garmi hey.
In teeno’n
lateefo’n ka majmoyee naam shama hey. Jab koi shakhs lafz shama istemaal karta
hey tu ma’nawi tor par es ki muraad teeno’n lateefo’n ki yakja surat hoti hey.
Is tarah
insan ki Rooh mein chhey lateefey hotey hain jis mein pehla lateefah Akhfaa hey.
Lateefah Akhfaa Ilm illahi ki film ka naam hey. Yeh film lateefah Khaffi ki
roshini mein mushahidah ki ja sakti hey. In dono’n lateefo’n ka ijtimayee naam Sabtah
hey. Es tarah Sabtah ke do itlaaq hoyee. Aik itlaaq Ilm illahi ke tamasulaat
hain aur dusra itlaaq Rooh ki wo roshini hey jis ke zariye tamasulaat ka
mushahidah hota hey. Tasawuf ki zuban mein dono’n itlaaq ka majmoyee naam
Taddallah hey. Taddallah darasal Asmaye Ilaahiyah ki tashkeel hey. Asmaye
Ilaahiyah Allah Taala ki wo sifaat hain jo zaat ka aks ban kar tanazul ki surat
ikhtiyaar kar leti hein. Yehi sifaaat mojoodat ke har zarrey mein Taddallah ban
kar muheet hoti hein. Pedaaish, arooj aur zawaal ki maslihatein es hi Taddallah
mein mandaraj hain. Es hi Taddallah sey Ilm illahi ke aks ki ibtida hoti hey.
Jis insan par Ilm illahi kay yeh aks munkashf ho jata hey wo taqdeer rab’baani
sey mutla ho jata hey. Es hi Taddallah ya tajalli ka indraaj sabtah mein hota
hey. Jaisey Alif Laam Meem khaaliq aur makhlooq ke darmiyaani rabt ki tashreeh hey
yani alam ki ramooz ko samjhney wala Allah Taala ki sifat Taddallah ya ramz
hukmarani ko parh leta hey.
Taddallah ka Ilm rakhney wala koi insan jab
Alif Laam Meem parhta hey tu es par tammam israr-o-ramooz munkashf ho jatey
hain jo Allah Taala ney surah baqrah mein bayan farmaaye hain. Alif Laam Meem
ke zariye sahib-e-shahood par wo israr munkashaf ho jaatey hain jo mojoodat ki
rag-e-jaan hain. Wo Allah Taala ki es sifat Taddallah ko dekh leta hey jo Kainat
ke har zarrey ki Rooh mein ba’shakal tajalli pewast hey. Koi ahl-e-shahood jab
kisi fard ke lateefah Khaffi mein Alif Laam Meem likha dekhta hey tu yeh samajh
leta hey ke es nuqtey mein sifat Taddallah ki roshiniya’n jazb hain. Yehi
roshiniya’n Azal sey Abad tak ke tammam waqiaat ka inkishaaf karti hain.
Lateefah Khaffi ke batin ka inkishaaf lateefah akhfaa ka inkishaaf hey aur
dono’n lateefo’n ka ijtimayee naam Rooh azam ya Sabtah hey.
Agar hum
Sabtah ko aik nuqtah ya aik warq farz kar lein tu es warq ka aik safah lateefah
Akhfaa aur dusra safah lateefah Khaffi hoga. Fil-waaqia lateefah Khaffi noori
tehreer ki aik mukhtasir shakal (SHORT FORM) hey jis ko parhney ke baad koi
sahib-e-israar es ke purey mafhoom sey mutla ho jata hey. Es mafhoom ke mutaliq
yeh nahin kaha ja sakta ke wo mukhtasir hey kiyun ke SHORT FORM honey ke ba’wajood
wo apni jagah kisi fard ki pedaish sey mutaliq Allah Taala ki tammam maslehato’n
ki tashreeh hota hey. Es hi cheez ko israr ki istilaah mein asma ya Ilm qalam
kaha jata hey. Yeh Ilm do hisso’n par mushtamil hey.
Pehla
hissah: Asmaaye Ilaahiyah
Dusra
hissah: Ilm haroof maqtaat
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi