Topics
Kainat mein her makhlooq shaoor
rakhtee hey. Msalan darakhton aur jawaron ko piyas lagtee hey aur pani pee ker
piyas bujhanay ka shaoor hasil hey. Es i tarhan Hawa ko pani kay nanney nanney
zaron ka aur in ko apnay dosh per utha lenay ka shaoor hasil hey. Yeh aam satah
ka shaoor sari mojoodat mein paya jata hey. Lekin es bat ka samjhna ke mojoodat
ko yeh wasf kahan say mila sirf insan ko meyaser hey. Allah Taala nay Adam kay
putley mein apni rooh phonk ker yeh Ilm es ko bkhsha hey.
Quran Pak mein tenon Uloom ka tazkirah milta
hey.
1. Ilm Huzoori
2. Ilm Husooli
3. Ilm Taddalha ya Ilm Naboawat
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi