Topics

Teen Aalam Kyun?


Jab musawir tasweer banata hey yeh tasweer es ki tasawwur ka aks hoti hai. Tasawwur bazat khud kaghaz par muntaqil nahi hota. Es hi liye woh kisi shye ki jitni taswerain banana chahta hey bana sakta hai. Es ki maienay yeh hue ki tasawwur jon ka ton es ki zehan mein mehfooz hai. Yahan se takhleeq ka yeh qanoon munkashif ho jata hey ki asal apni jagah mehfooz rehti hai. Aur aks muntaqil hota hai. Chunancha tamam makhlooq zahoor mein anay se pehlay khaaliq ki iraday mein jis terhan mehfooz thi, ab bhi isee hi terhan mehfooz hai. Kainat ka yahi markaz mehfoziyat Looh Mehfooz kehlata hai. Jis ko Nuqta Wehdani bhi keh satke hain.

Mojoodat mein jis qader nooyein hain un sab ki aslain Nuqta Wehdani mein mehfooz hain. Nuqta Wehdani ki Ain maqabil aik aaina hey jis ko Aalam Misaal kehte hain. Es aaina mein har nou ki allag allag Markaziyat hai. Yeh Markaziyat kisi nou ki tamam afrad ka aik aisa majmoi Heyolaa hey jis mein nou ki Moa’yen shakal o soorat naqsh hoti hai. Chunancha Nuqta Wehdani ki la shumar nooyein apni roshni se la shumar nauon ka markazi Heyolaa banati hain.

Jab Nuqta Wehdani ki shu’ayen Aalam Misaal ki taraf harkat mein aati hain tu Zaman (Time) wuqoo mein aata hey lekin yeh harkat aik her i hoti hai. Es mein aik tasalsul paaya jata hai. Es harkat ki Tawalat Azal se Abad taq hai. Zaman bhi Azal taa Abad hai. Es hi liye es harkat ko Zaman (Time) kehte hain. Yeh harkat Azal se Abad taq musalsal safar karti hey jab yeh harkat Aalam Misaal se guzar jati hey tu tukron mein taqseem ho jati hai. Aalam Misaal ka aaina shu'aa ko qubool kar ki apni fitrat ki mutabiq in shu’aa ko wapas lotane ki koshish karta hai. Es koshish se shu’aa ka tasalsul toot jata hai. Aik taraf Nuqta Wehdani ki fitrat agay badhne par majaboor karti hai. Doosri taraf misali aaina ki fitrat shu’aa ko wapas lotne par apni poori koshish sarf kar deti hai. Es kashmakash mein yeh harkat murakkab (dohree) ho jati hai. Harkat mein bhi do rukh hotay hain :

Aik kashish , dosra Guraiz.

Mufrad harkat (Zaman) jo Nuqta Wehdani se shuru hoti hai, nazooli harkat hai. Nuqta Wehdani se mutazaad simt mein safar karti hai. Lehaza es ko Guraiz kaha jata hai.

Jab misali aaina aks ko lotane ki koshish karta hey tu mufrid harkat ki simt badal jati hai. Woh ab taq nuzool kar rahi thi, lekin harkat ki mutazaad honay se Saood ki taraf rujoo ho jati hai. Yeh harkat kashish kehlati hai.

 

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi