Topics

Lail o Nahar


 

Oper tazkirah ho chka hey ke shaoor (Zaat Wajibul Wujood ) apni takrar kerta rehta hey aur jesay hi takrar waqey hoti hey ek nuqtah kay do ho jatay hen. Phir ek nuqtah kay do ho jatay hen. Azal say es hi tarhan ho raha hey. Agar hum riyzi danon ki tarz mein samjhen tu yeh lashmar nuqtay ek daerh ki shakl ikhtiyar ker letay hen. In nuqton mein her nuqtah apni jagah ek daera hey. Yeh tamam daeray mil ker ek barra daera bnatay hen. Es hi barrey daeray ka naam Kainat hey. Es i ko harkat dauri kaha jata hey. Yeh yad rakhna zaroori hey ke harkat dauri sirf shaoor ki takrar hey. Quran Pak mein es takrar ka tazkirah mojood hey.

 

 (sora inaam, ayet 12)وَلَہٗ مَاسَکَنَ فِی الَّیْلِ وَالنَّھَارِ وَھُوَالسَّمِیْعُ الْعَلِیْمُ

 

Tarjuma: Allah hi ka hey jo rat aur din mein sukonat pazeer hey. Wahee sn’nay wala aur jan’nay wala hey.

 

Rat aur din mein jo kuch rehta aur basta hey wo Allah hi ki milkiyet hey. Insan kay idraak o hawaas mein jo kuch hay, Allah Taala nay es ko do hison mein taqseem ker diya hey. Ek hissey wo hey jis ka taluq rat kay hawaas say hey. Yeh do daeray hen ya in ko harkat dauri ki do satah khen gay. Yeh dono satah mukhtalif hawaas ka serchashmah hen. Es hi wajah say Allah Taala nay lail o nahar kay alag alag alfaz istamal keay. Yeh Amr yahan qabl e zikr hey ke rat kay hawaas ko taareki, ghunodgi ya neend ke ker ghair haqeeqi tasawur kiya jata hey. Allah Taala kay alfaz say es tasawur ki tardeed ho jati hey. Aur yeh saabit ho jata hey ke Allah Taala kay nazdeek rat aur din kay hawaas yaksan thos aur haqeeqi hen. Agar hum zara sa tajziyah karen tu yeh bat hamaray samnay aa jaeay ge ke din kay hawaas ko ijtmaae shahadat hasil hey aur rat kay hawaas ko infradi. Lekin yeh haqeeqat bhi nazar andaz nahin ki ja sakti ke ijtmaaye shahadat mein bohat se ghaltiyan hoti hen bilkul es i tarhan jis tarhan infradi shahadat men.

 

Yahan yeh tazkirah zaroori hey ke nigha ki do satah mein ijtmayee satah ko marozi aur infradi satah ko maroozi ka naam diya jata hey. In hi do satah say Zaman (Time) ki daagh bel partee hey. Jab ek fard doosray fard say mutarif hota hey tu yeh hi taaruf ka merhala Zaman banta hey. Yeh taaruf zaat ka ek amal hey jab zaat apni kisi shan ko dekhtee hey tu ek tehrao waqey hota hey. Filhaqeeqat yeh tehrao dekhnay ki ek tarz hey jis ko aqal e insani zaman kehti hey. Aisa nahin hey ke koi cheez ya aan guzarti ho balkey yeh sirf zaat ki tarz e fikr hay, tarz e shaoor hay, tarz e nigha hey.

 

Allah Taala ka ek irshad yeh hey ke mein Samee hoon, mein Baseer hoon, yani samaat aur basarat meri wahid milkiyet hey aur doosra irshad yeh hey ke mein nay insan ko samaat dee, basarat dee. In dono irshadat say yeh nateejah nikalta hey ke insan Allah Taala ki samaat say sunta hey aur Allah Taala ki basarat say dekhta hey. Yeh malhoz rahey ke Allah Taala ka sun’na aur dekhna haqeeqi hey chahay wo Allah Taala ki Zaat mein waqey ho ya afrad ki zaat men. Dekhnay aur sun’nay mein mutashabeh sirf insanon ko lag skta hey. Es leay ke jo cheez Allah Taala ki taraf say hoti hey insan es ko khud say mansoob kerta hey aur yahan say wo kisi cheez kay samajhney mein ghalti kerta hey. Yeh tu mumkin nahin hey ke kisi shaks ki nigha badam ko injeer dekhay. Wo injeer ko injeer dekhnay per majboor hey. Albata maane phnanay mein apni ghalat ra’ey istamal ker skta hey. Yeh ke skta hey ke injeer ek fazool darakht hay, ek muzir darakht hey. Quran Pak mein Allah Taala ka irshad hay:

 

ھُوَ الَّذِیْ خَلَقَکُمْ مِّنْ نَّفْسٍ وَّاحِدَۃٍ (sorh aaraf, ayet 189)

Wohee hey jis nay tum ko banaya ek nafs say.

 

Tamam nou e insani ek makhfee scheme kay tehat banayee gayee hey. Wo makhfee scheme jo mzahr kay pechhay kam ker rahi hey. Es hi ko Allah Taala nay Nafs Wahidah farmaya hey. Makhfee scheme nazar aanay wale tareekh aur roshni ki gherayee mein aisey nuqosh ki takhleeq kartee hey jin ko hmaray hawaas mazhar ki soorat mein dekhtay aur mehsoos kartey hen. Yeh tu nammkin hey ke hum in nuqoosh kay idraak say inkar ker den. Ya in ki mojodgi ko tasleem na kren. Hum bazam khud sirf itna ker saktey hen ke haq ko batil ke den aur batil ko haq smajh len. Chunachey es i khum khyali aur ghalat tarz fikr kay zair e asr insan gumrahee mein mubtala ho jata hey.

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi