Topics
1.
Kashf-ul-Joo
2.
Kashf-ul-Lahqah
3.
Kashf-ul-Manaam
4.
Kashf-ul-Malakoot
5.
Kashf-ul-Kulliyaat
6.
Kashf-ul-Wajoob
Kashf-ul-joo
wo salahiyat hey jis sey har insan nisbat-e-wahdat ke tehat roshnaas hota hey.
Allah Taala ke hukum ki tashkeel ka naam Kainat hey.
Is hi
hukum ke zariye Allah Taala ki ahataah karney ki sifat kulliyaat ko muntaqil
hoyee hey.
Kulliyaat
ke tammam ajza aapas mein aik dusrey ka shaoor rakhtey hain. Chahey fard ke Ilm
mein yeh baat na ho lekin fard ki hesiyat kulliyaat mein aik maqam rakhti hey.
Agar aisa no hota tu insan chand , sitaaron aur apni zameen sey alag mahol sey
roshnaas na ho sakta. Es ki nigah tammam ajraam samawi ko dekhti hey. Yeh es baat
ki daleel hey ke har insan ki hiss zameen sey baahir ke mahol ko bhi pehchanti
hey. Yehi pehchan’na tasawuf ki zubaan mein sifaat Illahiya ki ma’rfat kehlata hey.
Ab es tarah kahen gey ke insani shaoor ki nigah Kainat ke zahir ko dekhti hey
aur insani lashaoor ki nigah Kainat ke batin ko dekhti hey. Bilfaaz deegar insan
ka lashaoor achi tarah jaanta hey ke kaainaaat ke har zarrey ki shakal-o-surat,
harkaat aur batini hisiyaat kiya hain. Wo in tammam harkaat ko sirf es liye
nahin samajh sakta ke es ko apney lashaoor ka mutalaa karna nahin aata. Yeh mutalaa
roya ki salahiyatein beydaar karney ke baad mumkin hey.
Pehley
hum roya ki us salahiyet ko beydaar karney ka tazkirah kartey hain jis ka naam
tasawuf ki zubaan mein Kashf-ul-Joo liya jata hey.
Mazmoon
nigaar ki misaal sey zahir hey ke mazmoon ka mafhoom pehley sey kulliyaat ke shaoor
mein yani mazmoon nigaar ke tehat lashaoor mein mojood tha.
Wahin
sey muntaqil ho kar mazmoon nigaar ke zehan tak pohncha. Ab agar koi shakhs es mazmoon
ko tehat lashaoor mein mutalaa karna chahey tu roya ki es salahiyet ke zariye
jis ko Kashf-ul-Joo kaha gaya hey, mutalaa kar sakta hey, khuawh yeh mazmoon
das hazaar saal baad likha janey wala ho. Ya das hazaar saal peheley likha jaa
chukka ho.
Jis waqt
Allah Taala ney lafz “Kun” kaha tu Azal sey Abad tak jo kuch jis tarah
aur jis tarteeb ke sath waqoo mein aana tha, aa gaya. Azal sey Abad tak har zarrey
es ki tammam harkaat-o-siknaat mojood ho gayin. Kisi zamanah mein bhi unhi
harkaat ka muzaahirah mumkin hey kiyun ke koi ghair mojood, mojood nahin ho
sakta yani Kainat mein koi aisi cheez mojood nahin ho sakti jo pehley sey
wajood na rakhti ho.
Insan jab
kisi zaawiyah ko sahi tor par samjhna chahta hey tu es ki hesiyat ghair jaanibdaar
ya adalat ki hoti hey aur wo ba’hesiyat-e-adalat kabhi fareeq nahin hota. Adalat
ko madai aur Mudaa Alleh ke muamlaat ko sahi tor par samajhney ke liye adalat
hi ka tarz-e-zehan istemaal karna hota hey. Es kemaani yeh hoey ke aik
tarz-e-zehan fareeq ka hey aur aik tarz-e-zehan adalat ka hey.
Har
shakhs ko tarz-e-fikar ke do zaawiye haasil hain. Aik zaawiyah ba’hesiyat
ahl-e-muamlah aur dusra zaawiyah ba’hesiyat ghair jaanibdaar. Jab insan ba’hesiyat
ghair jaanibdaar tajasus karta hey tu es par haqaaiq munkasshf ho jaatey hain.
Tajasus ki yeh salahiyet har fard ko wadiyet ki gayi hey taa ke duniya ka koi
tabqah muamlaat ki tafheem aur sahi feysalo’n sey mehroom na rahey jaaye.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi