Topics
Siyah
nuqta ko samajhney ke liye es ka naam Zaman (time) rakhna parre ga. Zaman ke do Maratib
hain. Aik martaba mein makaan aur waqt ke faaslay paye jatay hain. Dosray
martaba mein makaan aur waqt ke faaslay nahi paye jatay. Aik martaba mein
mushahida karne wala tarteeb waar dekhta hai. Es ke dekhnay ka andaaz kuch es terhan
ka hota hai ke woh aik lamha ke baad dosray lamhay aur teesray lamhay aur es hi
terhan mazeed lamhoon ke yakke baad deegray guzarnay ka idraak yeh hi idraak ki
takraar hai. Idraak ki takraar se shahod ki gahrayiaan banti hain. Un gehraion
ko makani faaslay kaha jata hai. Yeh martaba siyah nuqta ka sirf aik andaaz
nazar hai. Maslan din aik hibz (space) hai. Raat aik space hai, phool aik space
hai, fiza aik space hai, matti aik space hai, pani aik space hai, khala aik
space hai, aag aik space hai, hawa aik space hai, chandi aik space hai, sona
aik space hai, har shye ka chhotey se chhota zarra aik space hai, kaayenaat ka
barray se bara kur’rah aik space hai. Agar kisi chhootey se chhootey johar
(atom) ke khaRabb dar khaRabb tukre kiye jayen tu har tukraa aik space hai.
Agar aik second ko sankh dar sankh hisson mein taqseem kya jaye tu har hissa
aik hibz (space) hai. Siyah nuqta mein azal taa abadd jitne hibz ho satke woh
sab tehh dar tehh mojood hain.
Siyah nuqtay ka dohra
andaaz nazar bayan shuda andaaz nazar se bar aks hai. Es andaaz nazar mein siyah
nuqta ki gehraiyaan es daraja latanahiyet rakhti hain ke pehlay andaaz nazar ka
idraak es ka ahata nahi kar sakta. TaHum yeh andaaz nazar apna allag idraak
rakhta hai. Es idraak ko Allah Taala neh Lailatul Qadar farmaya hai.
Guzashta safhaat mein
Tasweed , Tajreed, Tasheedaur Tazheer ka
tazkara hua hai. Yeh charon idraak hain. Aur idraak ko samajhney ke liye
kaayenaat ki geherai aur pahnai ke baaray mein janna zurori hai. Kaayenaat ko
pahnai mein dekhnaa aur geherai mein mehsoos karna ya dil ki aankh se kaayenaat
ka mushahida karna idraak ki tarzein hain. Zahir mein dekhnaa pahnai mein
dekhnaa hai. Batin mein dekhnaa geherai mein dekhnaa hai. Quran
Pak mein un dono tarzon ki sharah ki gayi hai. Allah woh hai jis ney zameen o aasman ko chay din
mein banaya hai. Aur phir arsh par mutamakin ho gaya. Doosri jagah Allah Taala
ney farmaya hum tumhaarii rag e jaan se ziyada qareeb hain. Yeh bhi irshad hai
ke Allah Taala zameen o aasman (bulandio o pastiyon) ka noor hai.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi