Topics

ROOH KI MARKAZIYATEIN AUR TEHREEKAT

 

Lataaif ka bayan pehley aa chukka hey. Rooh ke chhey lata’ef darasal Rooh ki chhey markaiyatein hain jin ko bohat wusatein haasil hain. In markaziyato’n ki harkat din raat ke waqfo’n sey yakey baad degrey saadir hoti rehti hain. Chhey latifo’n mein sey teen lateefo’n ki harkat beydaari mein aur baqi teen lateefo’n ki harkat neend mein amal karti hey. In lateefo’n ki harkaat ko hum mandarjah zel hiso’n mein taqseem kar saktey hain.

Yeh hissey beydaari ya neend ke waqfey hain. Beydaari ke waqfo’n mein sab sey pehla waqfah wo hey jab insan so kar uth’ta hey aur es ke oper neem beydari ki haalat taari hoti hey. Es waqfah mein lateefah nafsi harkat karta hey aur es ki wusato’n mein jis qadar fikar-o-amal ki tarzein hain wo sab yakja daur karney lagti hain.

Dusra waqfah es waqt shuru hota hey jab khumaar utar chukta hey aur poori beydaari ki haalat hoti hey. Es waqfah mein lateefah qalbi ki tamaam salahiyatein apni wusato’n mein junbish karti rehti hain. Yeh waqfah mutwazan tor par kulfat-o-saroor ki haalat par mushtamil hota hey. Es waqfah mein kulfat-o-saroor ke ehsasat mutwazan hotey hain ya kabhi kulfat ka ehsaas barh jata hey.

Beydaari ka teesra waqfah khushi, wajdaan aur saroor ki quwat ke gaalib honey ka daur hey. Es waqfah mein musalsal lateefah roohi ki harkat qayam rehti hey.

Beydaari ke in teeno’n waqfo’n ke baad neend ka pehla waqfah shuru ho jata hey jis ko gunoodigi kehtey hain. Es haalat mein lateefah sirri harkat mein rehta hey. Neend ki dusri haalat jissey halki neend kehna cahoiye. Lateefah Khaffi ki harkat ka waqfah hoti hey. Neend ki teesri haalat mein jab neend poori tarah geheri ho jati hey tu lateefah Akhfaa ki tehreekat saadir hoti hain. In tam’aam haalto’n ke aghaaz mein insan pur sakoot ki haalat zaroor taari hoti hey. Maslan jab koi shakhs so kar uth’ta hey tu ankhein kholney ke baad chand lamhey qatayee sakoot ke hotey hain aur jab hawaas ko raftah raftah beydaar honey ka moqa milta hey tu ibtidaai tor par hawaas mein kuch na kuch sakoot zaroor hota hey. Es tarah wajdaani haalat shuru honey sey pehley insan ki tabiyat chand lamho’n ke liye saakit zaroor hoti hey. Jis tarah teeno’n beydaari ki haalatein ibtidaai chand lamhaat ke sakoot sey shuru hoti hain, es hi tarah gunoodigi shuru honey ke waqt pehley hawaas par bohat halka sa sakoot taari hota hey aur chand lamhey guzar janey ke baad hawaas kay yeh sakoot bojhal ho kar gunoodigi ki surat ikhtiyaar kar leta hey. Es ke baad ibtidaai neend ke chand sakit lamhaat sey halki neend ki shuruaat hoti hey phir geheri neend ki saakit lehrein zara si der ke liye insani jism par galba haasil kar leti hain. Yeh galba baad mein geheri neend ban jata hey. Ab hum har lateefah ki harkat aur harkat sey mutaliq haalat ko mukhtasran bayan karen gey.

Topics


Loh o Qalam (Roman)

Qalandar Baba Auliay (R.A)

“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad” key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq, Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.

Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah aur aaney waali nasal key supard karta hoon.

 

 

Khwaja Shamsuddin Azeemi