Topics
Jab qalb
insani mein Allah Taala ki nemato’n aur ahsaan ka hajoom hota hey aur insan Qudrat
ke atiyaat mein fikr karta hey es waqt Noor Allah ke tamasulat baar baar
tabiyat insani mein mojzan hotey hain. Yehan sey es rabt ya nisbat ishq ki daag
bel par jati hey. Raftah raftah es nisbat ke batini inhimaak ki kefiyatein
ronuma honey lagti hain phir in lateefo’n ya roshiniyo’n ke daairo’n par jo insani
rooho’n ko gherey hoye hain roshni ka rang charhney lagta hey. Yani in daairo’n
mein Anwaar-e-Ilahiya pey dar pey pewast hotey rehtey hain. Es tarah nisbat
ishq ki jarein mustehkam ho jati hain.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi