Topics
Yeh dekha
jata hey ke insan apney zehan mein Kainat ki har cheez sey roshnaas hey. Hum jis
cheez ko haafizah kehtey hain wo har dekhi hoyee cheez ko aur har suni hoyee baat
ko yaad rakhta hey. Jin cheezo’n sey hum waqif nahin hain hamarey zehan mein in
cheezo’n sey waaqfiyat peda karney ka tajasus mojood hey, agar es tajasus ka tajziyah
kiya jaye tu kayee roohani salahiyato’n ka inkishaaf ho jata hey. Yehi tajasusu
wo salahiyet hey jis ke zariye hum Kainat ke har zarrey sey roshnaasi haasil
kartey hain. Es quwat ki salahiyatein es qadar hain ke jab in sey kaam liya
jaye tu wo Kainat ki tammam aisi mojodaat sey pehley kabhi theen ya ab hain ya
aaindah hoongi, waqif ho jati hain. Waaqifiyat haasil karney ke liye hamara
zehan tajasus karta hey. Tajasus aik aisi harkat ka naam hey jo puri Kainat ka ahataah
kiye hoye hey. Quran Pak mein أَلا إِنَّهُ بِكُلِّ شَيْءٍ مُحِيطٌ Allah Taala ki har cheez ko ahataah karney wali sifat
ka tazkirah hey. Es sifat ka aks insan ki Rooh mein paaya jata hey. Es hi aks
ke zariye insan ka tehat lashaoor Aalam-e-Roya Kainat ki har cheez sey waqif
hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi