Topics
Chunachey
Zee Rooh ya gher Zee Rooh har fard ke andar akbar salahiyet hi ijtimayee zindagi
ki fehum rakhti hey. Aik bakri suraj ki hararat ko es liye mehsoos karti hey ke
wo suraj shakhs akbar ki hadood mein aik dusrey sey ilhaaq rakhtey hain.agar
koi insan shakhs akbar ki hadood mein feham-o-firasat na rakhta ho tu wo kisi
dusri nou ke afrad ko nahin pehchaan sakta aur na es ka masraf jaan sakta hey.
Jab admi ki aankh sitarah ko aik martabah dekh leti hey tu es ka hafizah
sitaron ki nau ko hameshah hamesha ke liye apney andar mehfooz kar leta hey.
Hafizah ko yeh salahiyet shakhs-e-akbar sey haasil hoti hey lekin jab koi insan
apni nou ke kisi insan ko dekhta hey tu es ki taraf aik kashish mehsoos karta
hey. Yeh kashish shakhs asgar ka khaasah hey. Yehan sey asgar maahiyat aur
akbar maahiyat ki takhsees ho jati hey. Akbar maahiyat Kashish -e-Baeed ka naam
hey aur asgar maahiyat Kashish-e-Qareeb ka.
Tajalli ki
ro tamaam anwaa ki makhloqat mein kashish baeed ka bahami ta’luq peda karti
hey. Yehi tajalli jab tanazul kar ke noor ki shakal ikhtiyaar karti hey tu
kashish qareeb ban jati hey teesrey darjah mein jab yeh tajalli noor sey tanazul
kar ke roshni ki surat ikhtiyaar karti hey tu aik hi nou ke do afrad ke darmiyan
bahami kashish ko harkat mein laati hey.
Ruhaani
duniya mein ghair iraadi harkat ka naam kashish aur iraadi harkat ka naam amal
hey. Ghair iraadi tamaam harkaat shakhs-e-akbar ke iraadey sey waqey hoti hein
lekin fard ki tamaam harkaat fard ke apney iraadey sey amal mein aati hain.
Jahan tak nehar tasweed, tajreed aur tash’heed ke ausaaf zaat-e-insani mein harkat
kartey hain. Wahan tak es ka maqam ijtimayee aur shkahs-e-akbar ka maqam hey.
Albatah jahan sey nehar tazheer ka wasf harkat mein aata hey wahan sey zaat insani
ka maqam infiraadi hey.
Nehar
tasweed, nehar tajreed aur nehar tash’heed ki hudood harkat mein jab koi kharq e
aadat pesh aati hey tu karamat kehlati hey. Jab nehar tazheer ki hadood mein harkat
mein koi kharq aadat pesh aati hey tu istidraj hoti hey.
Quran
Pak mein Allah Taala ney farmaya hey اَللہُ
نُوْرُ السّمٰوٰاتِ وَالْاَرْض. Es ka tazkirah pehley aa chukka hey. Es ki
mazeed tashreeh yeh hey ke tamam mojoodat aik hi asal sey takhleeq hoti hain
khuaw wo mojoodat bulandi ki hon ya pasti ki. Hum saakht ki tarteeb ko
hasb-e-zel misaal sey waaze kar saktey hain.
Sheeshey
ka aik bohat bara glob hey. Es glob ke andar dusra glob hey. Es dusrey glob ke andar
aik teesra glob hey. Es teesrey glob mein harkat ka muzahirah hota hey aur yeh
harkat shakal-o-surat, jism-o-maahiyat ke zariye zahoor mein aati hey. Pehla
glob tasawuuf ki zubaan mein nehar tasweed ya tajalli kehlata hey. Yeh tajalli mojoodat
ke har zarrey sey lamha ba lamha guzarti rehti hey taa ke es ki asal seraab
hoti rahey. Dusra glob nehar tajreed ya noor kehlata hey. Yeh bhi tajalli ki
tarah lamha ba lamha Kainat ke har zarrey sey guzarta rehta hey. Teesra glob
nehar tashheed ya roshni ka hey. Es ka kirdaar zindagi ko barqraar rakhta hey.
Chotha glob Nasma ka hey jo geso’n ka majmuaa hey. Es hi Nasma ke hajoom sey
maadi shakal-o-surat aur muzahirat bantey hain, anjeel ke andar es hi cheez ko
hasb-e-zel alfaz mein bayan kia gaya hey.
Anjeel-amaal,
baab no.17, Ayat:24 tu 28
Number1.
Ayat no.24
Jis Khuda
ney duniya aur es ki sab cheezon ko peda kiya Wo aasmano’n aur zameen ka Maalik
ho kar haath ke banaye hoey mandiro’n mein nahin rehta.
Is ayat
mein nehar tasweed aur nehar tajreed ka bayan hey. Awal Allah Taala ki quwat-e-khalqiyat
puri Kainat ke zarrey zarrey par musalat hey. Es hi quwat ke tasalut ko
ruhaaniyat ki zubaan mein nehar tajreed ya noor kehtey hain. (Duniya aur es ki
sab cheezon ko peda kiya…Nehar Tasweed, aasmaano’n aur zameen ka maalik
ho kar…. Nehar Tajreed)
Number 2-Ayat
No.25
Na kisi
cheez ka mohtaaj ho kar admiyon ke hathon sey khidmat leta hey kiyun ke wo tu khud
hi sab ko zindagi, saans aur sab kuch deta hey.
*Note : Allah Taala ke yeh
chaaron tasalut musalsal aur mustaqil hain in
(Zindagi Nehar Tash’heed, sab kuch Nehar
Tazheer ya Nasma )
Number3: Nehar Tash’heed ya roshni jisey
anjeel ki zubaan mein zindagi kaha gaya hey. Es ki atta ka silsilah Azal sey
Abad tak jaari hey.
Number4: Nehar Tazheer ki ro jis ka dusra
naam Nasma hey Kainat ke maadi ajsaam ko mehfooz aur mutaharik rakhti hey.
Ab
hum Nasma ki salahiyaton ka tazkirah karein gey. Es tazkirah ke baaz hissey
istidraj ke khusosi bayanat hain. Quran Pak se yeh bat sabit hey ke azal se
Abad tak Allah Taala ka hukum nafiz hey aur Allah Taala her cheez per muheet
hain
اَلَاۤ
اِنَّہُمۡ فِیۡ مِرۡیَۃٍ مِّنۡ لِّقَآءِ رَبِّہِمۡ ؕ اَلَاۤ اِنَّہٗ بِکُلِّ
شَیۡءٍ مُّحِیۡطٌ
(Sura Ha’meem
sajda : para25)
Allah
Taala ke hukum ki khilaf warzi aur Allah Taala ke Ilm se kisi cheez ka bahar
hona na mumkin hey. Dusrey alfaz mein Allah Taala ki taraf se aik record Ilm ka
hey jo Allah Taala ki sifat hey aur aik record Allah Taala ka hukum hey jo
Allah Taala ki ma’arfat hey.
Allah
Taala ki ma’arfat qadeem hey. Wo Allah Taala ki
______________________________________________________
mein sey munqata ho jaye tu Kainat
fana ho jaye gi. Wo Tasalut Khaliqiyet ka ho ya atta e Zindagi ka ho ya atta e
Nasma ka.
Tashreeh: Number1, Kainat ka lashaoor,
nehar tasweed.. Number2, Kainat ka shaoor, nehar tajreed. Number3, Kainat ka
iradah, nehar tashheed.. Number4, Kainat ki harkat, nehar tazheer hey.
Note: tamaam harkaat Nasma ka amal
hey. Maslan aik shakhs kaheta hey “ maine khaya maine likha.” Wo yeh nahin
kaheta ke merey moonh ney khaya merey haath ney likha.. Shaoori tor par Nasma
hi tamaam amaal ka dawedaar hey aur buraai bhalaai ka sadoor isi sey hota
hey. Es hi ki tashreeh anjeel, baab 17 ayat 27-28 mein ki gayi hey.
tarha hamesha aur hamesha qayam rahe gi. Chunachey yeh dono’n
record Allah Taala ki sifat-e-ilm aur sifat-e-hukam mein mojood hain. Sifat-e-Ilm
ko “ Ilm ul qalam “Aur sifat-e-hukam ko “looh-e-mehfooz” kehtey hain. In dono’n
recordo’n ki mojoodgi aisi ghaib ki duniya ka pata deti hey jis sey hamari duniya
ki ibtida hoti hey. Looh-e-mehfooz ke tamaam ahkamaat basurat-e-tamsal Aalam
ghaib mein mojood hain. Aur yeh ahkamaat Ilm Ilaaahi ke mutabiq tafseel ke sath
Aalam-e-Nasoot yani es maadi duniya mein naazil hotey hain. Allah Taala ney Quran
Pak mein farmaya hey. Mein ney har cheez ko do rukhon sey peda kiya hey. Es nazool
ka aik rukh amal karaney waley yani farishtey hain aur dusra rukh amal karney wali Aalam-e-Nasoot ki makhlooq
hey.
Neharo’n
ki hadood chaar Aalamo’n sey mosoom hain
Nehar
tasweed ki hadood Aalam Lahoot
Nehar tajreed ki hadood Aalam-e-Jabroot
_______________________________________________________________
“
taa ke Khuda ko talash karen shayid ke issey har chand wo hum sey kisi sey door nahin hey.” (Nehar
Tajreed) kiyun ke “ es hi mein hum jeetey” (Nehar Tash’heed), “chaltey
phirtey(Nehar Tazheer) “aur mojood hain” (Nehar Tasweed) hey.
Note: in dono aayato’n mein bhi
chaaron ne her o’n ka tazkirah hey jin mein sey aik nehar tazheer ya Nasma hey.
Es hi mafhoom ko Hazoor Alhe Salato Vasalam ney مَنْ عَرَفْ
نَفْسَہٗ فَقَدْ عَرَفَ رَبَّہٗ mein bayan faramaya hey. Jis ney apney
nafs ko pehchana es ney apney Rabb ko pehchana yani sab insan ke nafs naatqah
sey bilkul mutasal hey. Yehan parhney waley ke zehan mein yeh khayaal aa sakta
hey ke buraai bhalaai sab ka khaaliq Allah hey. Yeh baat sahi hey. Islam es ka
shahid hey lekin buraai bhalaai ka khaaliq
Nehar Tasheed ki hadood Aalam-e-Malkoot aur
Nehar Tazheer ki hadood Aalam-e-Nasoot hey.
Aalam-e-lahoot wo daairah hey jis ke andar
Ilm Ilaahi ba’surat ghaib mumkin hey. Es daairah ki tajalli mein aisey lashumaar
daairey hain jo khafeef tareen nuqtah sey daairah ki shakal mein tosee ikhtiyaar
kar ke puri Kainat ko muheet hotey rehtey hain. Tajalli ka har nuqtah jab
daairah banta hey tu pehley har nuqtah ke daairey sey bara hota hey. Tajalli ke
yeh lashumaar daairey Kainat ki tamaam aslon’n ki asal hain. Hum es ghaib ka
naam bartar azrooye shahood (Ghaib-ul-Ghaib) rakh saktey hain. Lashaoor ki asal
tajalli ke in hi daairon sey anwaa Kainat ki aslein banti hain. Agar saari
mojoodat ki salahiyatein jama ki jaein aur hum in salahiyato’n ki mahiyat ko talash
karna chahein tu es talash ki intiha par tajalli ke daairey payen gey. Lekin in
daairon ko sirf Rooh ki nigah dekh sakti hey jo takhleeq ki asal hey.
Jab yeh tajalli apni had sey nazool karti hey tu anwaa Kainat ki
______________________________________________________
honey sey Allah Taala par
kisi fayl ke sadoor ki zimadari aaid nahin hoti jab ke Allah Taala ney insan ko
buraai ya bhalaai karney ka ikhtiyaar diya hey. Es ki sab sey pehli misaal
Hazrat Adam Alhem Salam ke liye shajar mamnuaa ke qareeb janey ki mumane’at
thi. Es ka matlab yeh hua ke Allah Taala ney mumane’at karney sey pehley Hazrat
Adam Alhem Salam ko yeh ikhtiyaar dey diya tha ke wo shajar manuaa ke qareb
jaaein ya na jaaein. Zahir hey ke aisi surat mein buraai bhalaai ka khaaliq hona
Allah Taala ka wasaf hey lekin buraai karna na karna insan ka apna ikhtiyaar
hey.)*
maahiyat (tasawur) ban jati hey. Hum es ko aam alfaz mein lashaoor (Ghaib) keh saktey hain. Tasawuf mein aisi
maahiyat ki hadood ka naam Nehar-e-Tajreed hey. Jab yeh nehar apni hado’n sey
nazool karti hey tu shaoor ban jati hey. Es hi daairah shaoor ka naam Nehar Tash’heed
hey. Jab Nehar Tash’heed apni hado’n sey nazool karti hey tu Aalam mehsoos ki
hado’n mein daakhil ho jati hey jis ko Aalam-e-Nasoot ya maadi duniya bhi
kehtey hain. Yehi harkat ka zahoor hey. Isi ko tasawuf ki zuban mein mazhar
kehtey hain.
Ilm Huzoori ki do qismein hain: Ghaib ul ghaib aur ghaib
(Ilm ul qlam aur Ilm looh)
Ilm Husooli
ki bhi do qismein hain: Ilm shaoor aur Ilm ahsaas
Ilm
Huzoori Kainat ke sifaati ehsaas ka majmuaa hey. Ilm huzoori Rooh ki beydaari
sey meyasar aata hey.
Ilm Husooli
agarchey mehaz Rooh ki tehreekat ka natijah hey lekin es ka izhaar jism ke zariye
hota hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi