Topics
Khaki
duniya ke sath aik dusri duniya bhi abaad hey. Yeh dusri duniya mazhab ki zuban
mein “araaf” ya “barzukh” kehlati hey. Es duniya mein zindagi bhar insan ka
aana jana hota rehta hey. Es aaney janey ke baarey mein bohat si haqeeqatein insan
ki nigah sey chhupi hoyee hain lekin yeh aamad-o-rafat ghaflat ki haalat mein waaqe
hoti hey jab insan so jata hey tu khaki duniya malkoti duniya mein muntaqil ho
jati hey. Chalti phirti, khaati peeti aur wo saarey kaam karti hey jo beydaari
ki haalat mein kar sakti hey. Insano’n ney es ka naam khuab rakha hey lekin
kabhi es haqeeqat par ghor karney ki koshish nahin ki ke khuab bhi zindagi ka
aik jazv hey.
Is maqam par Kainat ki saakht ka
mujamal tazkirah kar dena zaroori hey. Aam istilaah mein jis ko jamadaat kaha
jata hey wo hayat ka ibtidaai heyola hey.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi