Topics
Nuqta e zaat se Nasma (zehan) ki
taraf aur Nasma se (jism) ki simt mein noor ki aik ro behti hai. Mazhar (jism)
se Nasma ki taraf aur Nasma (zehan) se Nuqta Zaat ki simt mein roshni ki aik ro
behti hai. Jo noor ki ro Nuqta Zaat se Mazhar ki taraf behti hey es ke andar
uloom luduniya ka zakheera hota hey lekin jo roshni ki ro Mazhar (jism) se
Nuqta Zaat ki taraf behti hai, woh uloom duniya yani jismani taqazoon aur
khwahisaat ka majmoa hota hai. Agar Nuqta Zaat se nuzool karne walay uloom
ladun’ni shaoor ke liye qabil tavajja aur baais dil chaspi hain tu un ka rang
aahista aahista mazhari khakon par charh jata hey yani insan ka lateefa nafsi
un uloom ki nooraniyat se maamoor ho kar haqeeqat ka rang qubool kar laita hai.
Yeh haqeeqat ka rang aisa noor hey jis ke andar se koi kaseef roshni yani
tarike nahi guzar sakti balkay jism ke taqazay aur saari khwahisaat es rang se
chhin kar lateef noor ki shu’aa mein tabdeel ho jati hain aur bajaye kaseef
roshiniyon ki (yani tarikeon ke) Mazhar ki simt se yeh chaanni hoyee lateef
noor ki shu’ayen Nuqta Zaat ki taraf behnay lagti hain. Nuqta Zaat se Mazhar ki
taraf behnay wali ro aur Mazhar se Nuqta Zaat ki taraf behnay wali ro jab
mazkoorah baala kefiyat tak pahonch jati hey tu zehan insani mein aik noor peda
ho jata hey jis ko Huzoor Aleh Salatvalslam ny noor firasat kaha hai. Yeh noor
firasat pehlay Aalam Amr Aam ki inkishafaat ka baais hota hai. Phir Aalam Amr khaas
ki inkishaaf ka. Aalam Amr se Mazhar ki taraf nuzool aur Mazhar se Aalam Amr ki
taraf Saood ki harkat musalsal hoti rehti hai. Aalam Amr se Mazhar ki taraf
laduniya ka jo zakheera nuzool karta hey es ka aks shaoor par parta hai. Shaoor
es aks ko zameer ke naam se tabeer karta hai. Shaoor zehan insani ka aisa aaina
hey jis mein uloom laduniya ke Anwaar ka aks parta hai. Yeh uloom laduniya Azal
se Abad tak ki halaat par mushtamil hotay hain. Un halaat ka tasweerai aks
shaoor ke oper parta hai. Halaat ke es tasweerai aks ko “Aalam Timsaal" kehte
hain. Agar kisi shakhs ka shaoor (zehan) mujla aaina hey tu band ankhon se ya
khuli ankhon se halaat ka tasweerai aks wazahat ke sath nazar aata hai. Agar
lateefa nafsi ki taraf se kaseef roshni
Yani tarike ro ban kar Nuqta Zaat ki
taraf behti hey tu shaoor ka aaina mujla nahi rehta aur uloom laduniya ki tamam
tasweeri aks nazar se ojhal ho jatay hain.
Qalandar Baba Auliay (R.A)
“Guftah O Guftah Allah Bowad Garchah Az Halqoom-e- Abdullah Bowad”
key misdaaq Haamil Ilm-e-laduni, waqif israar kun fakoon, Murshid Kareem, Abdaal-e-Haq,
Hassan Ukhra Muhammad Azeem Barkhiya, Hazrat Qalandar Baba Auliya Rehmatullah
Aleh R.A ki zabaan-e- faiz-e-tarjumaan sey
nikala hua aik aik lafz khud huzoor baba sahib Ke roohani tasaraf sey merey
zehan par naqsh hota raha….. aur phir yeh Ilhaami tehreer Hazrat Qalandar Baba Aliya
R.A ki Mubarak Zuban aur is Aajiz ke
qalam sey kaghaz par muntaqil ho kar kitaab “Loh-O-Qalam” ban gayi.
Merey paas yeh roohani uloom nou-e-insaan aur noo-e-jinaat key liye
ek wirsah hain. Main yeh amanat barey boorho’n, insaan aur jinaat ki mojoodah
aur aaney waali nasal key supard karta hoon.
Khwaja Shamsuddin Azeemi