Topics

ZIYA BATEES

Shakr peishaab mein hona ya khoon mein,doonon halaton mein muderja zail taaweez kaghaz ya cheeni ki platoon per zaafran aur arq-e-gulaab se likh ker teenon waqt khaney se pandrah bees minute pehley pani se dho ker piyein


Mithaas se perhaze zaroory hey albata jamun eis marz mein khana mufeed hey.Kala chana(chilkoon ke sath) peiswaa ker eis aatey ki roti khana ziya batees mein khaas taur se faidey mand hey.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.