Topics
Peishab mein khoon aaney ya jalan ki wojoohat bohat hey masalan gurdon ya masana mein patheri ki waja se shikayat la haq ho sakti hey.Bohat ziyadah garam cheezein ya laal mirch khaney se bhi akser peishaab mein jalan ho jati hey.Peishaab ke amraaz mein nuksaan deh gizaoun aur cheezon se perhaze ke sath sath eik martabah
بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
ھُوَ اللّٰہُ الْخَالِقُ الْبَارِئَُ الْمُصَوِّرُ لَہُ الَاسْمَاءُ الْحُسْنٰی ؕ
Beismillah-rehman-raheem
HOWA ALLAHOL KHALIKOL BARIOL MOSAWIRO LAHOL ASMAUL HUSNA
Parh ker pani per dam ker ke din raat mein 8aath
martabah pilayein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.