Topics
Paycheis saadha ho ya khooni donon soortaun mein eis ki waja aanton
mein kharish hoti hey.Eis mareez mein zameen ke ander peida honey wali tarkariyaan,tazey masaley,ziyadah namak
mirch aur ghosht ki boti nihayat muzzer hey.Poraani paycheish ka daimy(constant)
marz arsey tak musalsal elaaj karney se khatam ho jata hey.
Waqt be waqt kuch na kuch khaney ki aadat intehai nuksaan deh sabit hoti hey.Ghiza mein sago dana,mong ki daal,khichri jeis mein daal do haisey aur chawal eik heisa ho eistemal karna chahiye.Bakri ke ghosht ke shorbey mein jeis mein namak mirch baraye naam ho roti ko acchi tarhan bhigoh ker khayein.
بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
اِنَ اللّٰہَ کَانَ بِکُلِّ شَئیً عَلِیمَا
Beismillah-rehman-raheem
"INA ALLAHA KANA BIKOLEY SHAIYEN ALEEMA"
Suraj nikalney se pehley subha nihaar moonh eik piyali pani per dam
ker ke eik maah tak piyein.Dam kiya hooa pani peeney ke baad aadhey ghantey tak koi cheez khana peena manah
hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.