Topics
Dimaagh
ke ooper mustaqil dabao rehney se zehni tawazon bigar jata hey,eis ki waja paicheedah
halaat hon,koi uljhan ho ya shaker marz ho,dimaghi tawazon kharab honey ki koi
bhi waja ho,elaaj eik hi hey woh yeh hey ke jab bhi pani piyein
eik ghoont pani per
بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
parh ker dam ker ke piyein ya eis tarhan karein ke pehla ghoont pani moonh mein ley ker dil hi dil mein "BEISM ALLAH"shareef parhein.Ager mareez ki halaat itni kharab ho ke yeh khud yeh amal na kar sakey to
بِسْمِ اللَّـهِ الرَّحْمَـٰنِ الرَّحِيمِ
zafran aur ark-e-gulaab se eik plate per likh ker subha nihaar moonh
pilayein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.