Topics
Taaweez likhney ka tareeqa:-Munder
ja zail naksh ke ooper bareek likh ker khaney bana lein aur kaghaz ko alag ker
ke ooper beismilaah shareef likhein aur phir khana poori eis tarhan karein ke
pehley woh char khaney likhein jeis per number 1 dala gaya hey.Phir number 2 ki
khana poori karein essi tarhan tarteeb se aathon khaney likh lein.Eis ke nichey muhib (yani jo shadi
karna chahta hey) aur eis naam ke baad
AL HOOB O اَلْحُبُ likh ker (yani jeis se shaadi karna maksood hey)ka naam likh kein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.