Topics
nsaan ke ander do dimagh hotey hain.Eik ko hum shaoor kehtey hain aur doosrey ka naam la shaoory kaha gaya hey.Shaoor la shaoor ki dee hoyeei tehrikaat ko kobool ker ke hamarey ander hawaas banata hey aur hamein in hawaas se kaam lena sikhata hey ager shaoor kamzor hey to woh la shaooory tehrikaat ko poori tarhan kubool nahi karta.Nateejey mein zindagi mein kaam aney wali bohat si salaheeyaton se hum mehroom ho jatey hain.Aur kadam kadam per hamein mushkilaat ka samna hota hey.Shaoor ki eis kamzori ko dooor karney ke liye.Zardey ka rang aur arq-e-gulab se cheeni ki plate per munderja zail taaweez likh ker subha nihaar moonh maheeney(1month) tak pani se dho ker pilayein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.