Topics
Baaz halat mein bachey kafi umer tak beister mein peishaab
kartey rehtey hain.Eis ka elaaj yeh hey ke jab bacha raat mein gheri neend mein
so jaye to eis ke kareeb sirhaney ki tarf beth ker itni awaaz se ke bachey ki
neend kharab na ho,eik baar surat-ul-baara ki pehli ayat {aleeef laaam meeeem}الم se {yomenona bil gaeb} یوُمِنُوْنَ بِالْغَیْبِ tak 21 roz parhein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.