Topics
Aankh ke koey
mein phunsi ki shakal ka dana jo rista rehta hey eis ko aankh ka naasoor kehtey
hain.
Chaney ki eik
dal(lentils) lee jiye (Dal se murad chane ka adha hisa hey) aur eik pather lee
jiye.aisa pather jo nadiyoon ke kinarey
aam taur se milta hey.Yeh pather kala safed bhoora aur baaz auqat naksho nigar
se bher pur aur chikna hota hey.Hajam ki koi qaid nahin.Pather per pani dal ker
eik martaba“ALLAH HO NOORUS SAMAWATO WAL ARD” اَلَلّٰہُ نُوْرُ الْسَمَوٰتِ وَالْاَرْضِ Parh kar dam
kardein aur chaney ki daal ko pather per ghesein.Dal
ghesney se eik leip(paste) sa bun jaye ga.Eis leip(paste) ko jast ki silayee se
subaho sham chand roz mutasirah aankh (infected eye) mein lagayein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.