Topics
Admi zindagi ke
tamam marahel waqt ke chohtey chohtey tukron
mein tey karta hey, masalan eik second ka koi fraction. Admi ki zindagi khuaa so(100)
bars ki kyon na ho lekin woh inhi lamhoon mein taqseem hoti rehti hey.Ghour
talab amer yeh hey ke admi apni zindagi baser karney ke liye zehn mein waqt key
yeh tukrey jorta hey aur inhi tukron se kam leta hey.Inhi tukron ke girdaab
mein jin ko hum sochna ya fiker karna kehtey hain,hum ya tu eik turkey se aagey
dosrey turkey par aa jatey hain ya waqt ke es turkey se palat tey hain.
Esko es tarhan
samajhna chahiyey ke admi abhi sochta hey ke mein khana khaon ga lekin eis ke
peat mein geraani hey es liye woh tark kardeta hey.Kab tak woh es tark par qaim
rahe ga es ke barey mein esey kuch nahi maloom.Alaa haza al qayas ifkar hi es
ki zindagi ke ajzaa e tarkeebi hain, jo esey naakam ya kaamyab banatey hain.Abhi
woh eik iraada karta hey phir tark kardey ta hey,chahe mintoon mein tark karta
hey, chand ghantoon mein tark karta hey ya maheenon aur saloon mein tark karta hey.
Batana ye maqsood hey ke tark admi ki zindagi ka juzv e azam hey kyon ke wo beltabaa(naturally) araam talab waqey hooa hey.Bohat see batein hey jin ko admi doshwari ,mushkil, beemari, bezaari, be-amali, be cheni
wagera wagerah kehta hey.In kehfiyatoon ke belmakaabil eik aisi kefiyat hey jeis ka naam woh sukoon
rakhta hey .Yeh nahi kaha ja sakta ke yeh sab kehfiyetein haqiqi hain.Dar
haqiqat in mein se zayada tar kefiyaat mafrozaat(fictions) per mabni hain.
Insaan ke dimaagh
ki saakht(structure) hi aisey hey ke who har asaani ki taraf dorta hey aur har
mehnat se ji churata hey.zahir hey ke ye do simtein hain aur en simtoon mein
admi hamesha ifkaar ke zariye safar karta hey.es ki her harkat ka mamba(source)
en simtoon mein se eik simt hey. Hota yeh hey ke abhi hum ne eik tadbeer(planning)
ki phir us ki tanzeem ki yahan tak ke woh mukumal ho gayee us ke simt bhi sahi
thi lekin sirf dus kadam chalney ke baad hamarey zehn mein tabdeli waqey hoi,tabdeli
waqey hotey hi ifkaar(thoughts) ka rukh badal gaya.Nateejey mein simt bhi tabdeel
ho gaye chonan chey hum jes manzil ki tarf rawana thay woh ghyeb(hide)
mein challi gayee.Humarey paas baqi kya raha ___?Tatolna or tatol kar kadam uthana.wazhey
rahey ke yeh tazkarah yakeen aur shak ki darmiyani raahon ka tha .
Humein ye nahe bhoolna chaiyey ke insaan ki bina wehum aur yakeen par hey .Mazhab ki estalah mein es hi ko shak aur imaan kaha gaya hey .Allah shak ko jaga deney se mana farmatey hain aur zehn mein yakeen ko puktha karney ka hokum detey hain .Quran pak mein irshad hey “LAA RAIB”hey yeH kitaab Aur es ko hidayat deti hey jes ka yakeen ghyeb par jes shak ko allah ne mamnoo karaar diya hey yeh wohi shak hey jeis se Adam (A.S) ko baz rehna ka hokum diya gaya tha, Bel aakhir sheytan ney behka kar yeh shak daldiya jes ke sabab adam ko jannat se nikala gaya.esi mukaam se adam ke dimag mein do simtoon ka taayun hoa.Yani SHAK aur YAKEEN.
Bayan kar da haqayeq ki roshni mein insaan ke dimag ka mehvar
yakeen aur shak per hai yehi woh shak aur yakeen hey jo dimaghi khalyon mein hamma
waqt amal karta rehta hey. Jeis kadr shak zayadti hogi es hi kadr dimaghi khalyon
mein toot phoot waqey hogi.Yeh batana bohat zaroori hey ke yeh hi woh dimaghi
khaliye hain jin ke zeir e asar tamam asaab kaam karte hain aur asab ki
tehrikat hi insani zindagi hey.
Keisi cheez per
insan ka yakeen karna itna hi mushkil hey jitna fareib ko jothlana. misall es
ki yeh hey ke insan jo kuch hey woh khud ko es ke khilaf peish karta hey .Woh
hamesha apni kamzoriyaan chupata hey aur in ki jaga mafroza khoobiyan bayan
karta hey jo es ke andar mojood nahin heyin.Mushkill sab se bari yeh hey ke woh
jes muashrey mein tarbiyat pa kar jawan hoa hey woh muashra es ka aqeeda ban jata hey,eis ka zehn es kabil
nahi rehta ke es aqeeda ka tajziya kar sake. Woh aqeeda yakeen ka mukam hasel
karleta hey halan ke woh mehaz fareib hey .Sab se bari wajah es ki yahi hey ke
admi jo kuch kudh ko zaahir karta hey aisa hey nahin balke es ke ber aks hey.
Eis keism ki zindagi guzarney mein esey bohat mushkilat peish aati hain.aisey mushkilat jin ka hal admi ke pass nahin hey ,es zindagi mein kadm kadm par usay khatra mehsoos hota hey ke ei ka amal talf ho jaye ga aur be-natija sabit ho ga.Baaz auqat admi yeh samhajhney lagta hey ke es ki poori zindagi talf ho rahi hey .Agar talf nahi bhi ho rahi to sakht khatrey mein hey.Yeh sab in dimaghi khaliyoon ki waja se hota hey jin mein shak ki bina per bohat tezi se toot phoot waqey ho rahi hey . Dimaghi khaliyoon ki tezi se toot phoot aur rado badal
kadm kadm per es ke amali raaston mein rokawat
peida karti hey ,Amal be natija sabit hota hey aur asab ko nuksaan puhunchta hey
.
Admi ka dimagh
dar asal es ke ikhtiyar mein hey ,who khaliyon ki toot phoot ko yakeen ki taaqat
se kam aur ziyada kar sakhta hey.Dimaghi khaliyoon kit tot phoot ki kamy se asaabi
nuksaan ke emkanat ,bohat hi kam hoja te hey.
Admi bhi eik janwer hey.Kisi
tarhan sey us ney aag ka estemal seekh liya aur aag ke estemal se beltadrij elmo
hunar ki boniyadein pareen .Kitab“Rang aur Roshni Se Elaaj”mein admi ke do peron
per chalne ka wasf bayan kiya gaya hey.Hum ne eis kitab mein tashreeh ki hey ke
heyvan aur insaan mein roshni ki takseem
ka amal kin buniyadon per qaim hey aur takseem ke es amal se he admi aur heyvan
ki zindagi allag allag hoti hey.
Tareekh mein koi aisa daur nahin aya jab admi chand fi hazar se ziyada sehet mand mojoodh raha ho.Darasal hona yeh chahiye tha ke who ziyada se ziyada roshni ki kimtoon roshni ki kismein aur roshniyon ka tarz e amal maloom karta lekin es ne kabhi es taraf tawajoh nahin ki,yeh cheez hamesha pardey mein rahi.Admi ney es pardey mein jhankney ki koshish es liye nahin ki ke ya to es ke samney roshniyoon ka parda mojoodh hi nahi tha ya os ne roshniyoon ke pardey ki tarf tawajoh nahi ki,os ne who kaide maloom karney ki tarf khayaal hi nahi kiya jo roshniyoon ke khalat malat se taluk rakhtey hain.Agar admi yeh tarz e amal ikhtiyaar karta to es ke dimaghi khaliyon ke toot phoot kam se kam ho sakti thee.Es halat mein woh ziyada se ziyada yakeen ki taraf kadam uthata,fazool aqayed aur tauhum mein mubtala na hota.shakook aisey itna pareeshan na kartey jitna ke ab
pareeshan kiye hooye hain aur
es ki tehrikat mein jo amali rukawatein waqey hoti hain woh kam se kam hoteen.Lekin
eisa nahi hoa.os ne roshniyoon ki kesmein maloom nahni keyn na hi roshniyoon ki
tabiyat ka hal maloom karne ki koshish ki.Woh yeh bhi nahi janta ke roshniyan
bhi tabiyat aur maahiyat rakhti hain aur roshniyoon mein rojhaanaat bhi mojood hain.Usey
yeh bhi ilm nahin ke roshniyaan hi es ki zindagi hain aur es ki hifazat karti hain.Woh
to sirf matee ke putley se waqif hai.Us putley se jes ke ander apni koi zindagi
mojood nahi hey jes ke liye Allah Talla
ne farmaya ke “woh sari hoi mety se banaya gaya” aur doosri jaga yeh bhi irshad
hey ke “woh mity banjy hey yani “khalaa”hey.”
Allah talaa ne quran pak
mein irshaad kiya hey:-
“Insaan
na qabil e tazkara shey tha hum ne us ke ander apni rooh phoonk di.Pas yeh boolta,sonta,samajhta
aur mehsoos karta insan ban gaya”.
Rooh ki taareef yeh hai ke woh amre rab
hai.Amr ki bohat mukhtaser tashreeh yeh hey:-
Es ka amr yeh
hai ke jab woh iraada karta hey kisi baat ka to kehta hey “ho” aur woh ho jati hey.
Yani insan rooh hey aur rooh amr e rab hey.
Allah ke eis irshad se na
waqfiyat wehum aur shak ko barahti hey natijey mein imaan aur yaqeen toot jatey
hain,
Quran pak ney quom
ko eik fard ki haisiyat di hey chonachey es ke sath bhi yeh hi amal hota hey jo
fard ke sath hota hey.quom mein ager yaqeen ke neisbat shak ziyada ho jaye to yeh
amal do rukh ikhtiyaar kar leyta hey.Jab us ka rukh urooj ki taraf hota hey to
afaat samawi
ke aaney ka ehtimal hota, hey
aur jab nazool ki taraf hota hai tu aafat e arzee aati hain.Jab afaat asman se
naazel hoti hain to bhiker ker poori quom ke zehan aur asaab ko mutaaser kartey
hain.In se bachney ki siwaye es ke koi tarkeeb nahi ke quom ke yakeen ki rah
eik ho.Allag allag na ho.Yehi ambiya ka sabak hey.jab quom girohon mein
muntashir ho jati hey aur girohon ka yakeen mukhtalef hota hey to shak zameen
ki sathah per phel jata hey.Chonanchey SEILAB, ZALZALA, WABBAEIN wagerah zahoor
mein aati hain.Kabhi kabhi khana jangi bhi hoti hey jes se quom aur afrad ka asaabi
nizam tabaah ho jata hey jo tarhan tarhan ki bimariyaan pehlney ka moajab hota hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.