Topics
Daanye taraf kanj-e-raan mein ungli ke pore ke baraaber eik rag hoti
hey.Ziyadah ter yeh hota hey ke nizaam-e-hazam ki kharaabi aur maidey mein ghilaazat
ki waja se eis rag mein hawa bhar jati hey ya ghiza ke zarraat sarh jatey hain.Reeh
ka ikhraaj ho jaye aur pakhaana ajaye to takleef mein bari had tak kamee waqey
ho jati hey.Eis ka roohani elaaj yeh hey:-zardey ke rang ya siyah roshnayee (woh
roshnayee jo takhti likhney mein eistemaal hoti hey) se safade cheeni ki bari
plate per 21 martabah
رِیَا حِینَ مَاء
ٍ
likhey aur pani se dhoh ker yeh pani do lotey thandey pani mein milaa dein aur
dard ki jaga eis pani se dohraayein.Yeh amal 24 ghantey mein teen martabah.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.