Topics
Kabhi aisa bhi hota hey ke acha khAasa chalta hoa karobaar thup
hojata hey.Aur dukaan ya karobaar mein esi bandeish waqey ho jati hey ke tamaam
saaman aur wasaail mohaiya honey ke bawajood bikri nahi hoti.Aur order wagerah
nahi aatey.Kahein se order milta hey tu uski takmeel nahi hoti dukan mein
kharidar atey hey.Maal pasand kartey hain lekin khareedey baghair chaley jatey hain
aur yehi saaman doosri dukan se ziyaadah keemat per khareed letey hain.Eis ke
tadarruk ke liye yeh amal karein.
Subha sawerey uth ker wozoo karein.Dukan ya dafter mein esey waqt
puhunchey ke abhi suraj nikala ho.Eik martaba surah naas سورہ الناس poori aayat parh ker dukan ya dafter ke
darwazey per dam karein.Panch kadam peechey hat jayein aur donon jotey utaar
lein aur jotoon ko hath mein leker teen dafa eis tarhan jharein ke jotoon ke
talwey eik doosrey se takrayein.Aur jotey pehen ker dokaan ya dafter ke ander
ja ker lobaan ki dhoni de dein.Yeh amal sirf eik dafa ker lena kaafi hey.Eis
amal mein yeh baat zaroory hey ke jootey leather soul ke hoon.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.