Topics

AMAL AUR AAMEL HAZRAT

Aamel hazrat kisi amal ki taqrar kar ke apne dimagh ko bar bar harkat detey hain.Yahan tak ke who iradey per kaboo paa letey hain.Mashq ke zariyey inki maharat jitni barhti hey esi kadr in ko qoowat e iradi ke zariyey kam leney mein asaani ho jati hey.es qism ke admi az-rooye jibillat bhi peida hotey hain.In ki tabiyat khood ba khood rohaniyat ki tarf maayel ho jati hey aur shiroo umar se in chezoon ko samjhey baghair bar bar eistemall karte hain.Pehley se innhey yeh ilm nahi hota ke hamarey ander yeh uftad e taba mojood hey balkey es qoowat ke bar bar estemal se jo who mehaz tafreehan kartey hain,kamyabi honey lagti hey aheista aheista un per yeh raaz munkashif  ho jata hey ke khayal aur iradey se kam liya ja sakta hey.

Jab who es per amal karytey hain aur bar bar es ko doharatey hain aur nataeja  hasb-e-dil khuwa peida hotey hain to who khud ko aamel samajhney lagtey hain.Log bhi inhey AAMEL ke naam se pokartey hain.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.