Topics
Har aamel ko beltaba es baat per yaqeen hota hey ke mein jesey qoowat
baksh doongah who bhi meri tarhan aamel ho jaye ga.Akser dekha gaya hey ke kisi
aamel ne kisi ko apna amal baksh diya hey.jesey bakhshna hey os ki tabiyat bhi
wohi ban jati hey jo aamel ki hey.Eik tabiyat ka dosri tabyat mein saraaiyat
kar jana bhi admi ka nafsiyati khaasa hey.Asal amal to boht hi shaz hota hey
albata bakshey hooye aamel kafi paye jatey hain.Bakshey hooye aamel hazraat ke
yaqeen mein yeh baat rasikh ho jati hey ke ager hum aisa karein gey to aisa hi
hoga.Hum yeh baat bata chukey hain ke kaamyabi madarij yaqeen ki qoowat per monhasir
hai.
Eis kitab se faayeda othaney ke liye moaalij khuwa khud mareez ho
ya kisi dosrey ka elaaj karey.Giyarah giyarah(11) maratbah awal o aakhir dorood
shareef parhey aur eik martabah “ بِسمِ اللہِ اَلْوَاسیعُ جَلَ جَلَ لَہُ Besmillah e al waseyo jalla jalla lahoo” parh kar haaton per dam kar ke teen
bar haath chehrey per pherey.Ab meri taraf se es ko es kitab ke amaliyat ki
ijazat hey.
Taaweez khod estemal karney ya kisi doosrey
ko likh ker deney ki soorat mein taaweez ki zakaat do rupey khairaat ker dein ya
es mareez ko jis ko taaweez diya gaya hey yeh hidayat kar dein ke who taaweez
ki zakaat do rupey khairat kar de.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.