Topics
Mustaqil zehni dabao,asaabi kashakash ya aur keisi waja se ager zehan
maoof rehta hey ya koi baat samajh mein na aati ho,dimaaghi ya jeismani kaam
kartey waqt zehan sath na deta ho,esi soorat mein kali roshni se lobaan ke bohat
chotey chotey tukrey per no 9 ke hindsey likhey jayein aur lobaan ke tukron ko
dehaqhatey hooye koeylon per daal ker dhooni ki tarhan sulgayein.
Yeh amal esi jaga karna chahiyeh jahan mareez ke alawa koi aur
shaks na ho.Eis ke liye raat ka waqt nihayat moozoon hey.Dhooni leney ke baad
muraqba karein yani aankhein band ker ke apney dil ke ander dekhein.Muraqba
pandrah minute tak kiya jaye.Eis amal se zehan mein aisi roshniyaan muntakil honey
lagti hain jin se masayil ka hal asani se samajh mein aa jata hey aur zehan ke
ander halaat o masail ka muqabla karney ke taaqat peida ho jati hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.