Topics
Shadeed zarb ki bina per koi rag path jaye aur eis se khoon behney
lagey to yeh alamat khatrey ki hey.Eis soorat mein la perwahi nahi baratni
chahiye fauri tadarak ke sath sath.
KAAN AL BAHAR O
MIDADAN LE KALIMATEY RABI
کَانَ الْبَحْرُ مِدَادًا لِکَلِمَاتِ رَبِّیْ
Plate ya tashtari per khaney ke zard rang ki roshnayee se likh ker
mareez ko baar baar pilayein.Behoshi ki halaat mein pani chamchey se eis ke halak
mein daldein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.