Topics
Aisey haalat mein jab kosheishon ka koi nateeja na nikley.Umeed bandhey aur toot jaye. Dinon,hafton,maheenon aur baaz auqaat saalon daftaron ke chakr laganey ke bawajood mulazmat na milley ya karobaar mein barkat na ho to karobaar ya mulaazmat mein barkat ke hasool ke liye yeh naksh bazoo per bandhey ya galey mein pehan lein aur her waqt wozoo baghair wozoo.Chaltey phirtey,uthtey bethtey,sotey chaltey یَا حَیُ یَا قَیُومْ ka wird karein.
konon mein diye gaye hindsey naksh ki chall ko zahir kartey hain.Inhey
asl taaweez mein na likha jaye.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.