Topics
Chromsome mein baaraah chaley hotey hein aur her chaley ka alag
alag rang hota hey.Shikam maadir mein ager in chaaloon ke rang mein yaksaaniyat
rehti hey to bachaa poori mardanaa khasoosiyaat ka haamil hota hey aur ager eik
chaley ka rang bhi puri tarhan doosrey 11giyarah chaloon ke hum miqdaar naa
rahey to bachey mein eisi munasibat se mardaana ausaaf kam ho jaatey hain.Barah
chaaloon mein se keisi eik chaley ke rang ki miqdaar bohat ziyadah ya bohat kam
ho jaye to larki peidaa hoti hey.
Baaz mardoon
mein mardana wajaahat kam aur niswaaniyat ziyaadah hoti hey,baat karney ke andaaz,chaal,dhaal
aur shakl o surat mein sanf e naazuk ka aks jhalakta hey kuch mardoon ki awaaz
bhi aurton ki awaaz ki tarhan hoti hey eis ke tadaarukh ke liye subha bedaar honey
ke baad aur raat ko sontey waqt eik arsey tak
اَلْرِّجَالُ قَوَّامُوْنَ عَلیَ النّیسَآءِ (Al rijaal o
qawa moona allal nisaa e)
ka
wird kiya jaye.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.