Topics
Maidey mein peivast aur taafoon ki waja se gas jab ooper ki
taraf rajoo karti hey to moonh se boo aney lagti hey.Ager masooron
ke ander ya danton ke khalaa mein ghiza ke zaraat jama ho ker sard jaein tab
bhi moonh se boo aati hey lekin woh boo jo gas ki shakal mein moonh se khaarij
hoti hey doosrey logon ke liye intehayee zehni takleef ka sabab banti hey.Mareez
ko eis ka itna ehsaas nahi hota lekin mukhaatib ke ooper eis bad boo se woh hi
taasur kaayam hota hey jo keisi sakht badboo dar cheez se ho sakta hey.Eis ke
dafayaa ke liye khaney ke nizaam al amal mein aitidaal bohat zaroory hey.Eis mareez ko chahiye ke who waqt be waqt koi
cheez na khaaye.Jo bhi khana ho sirf in auqaat mein khaye jo eis ne apney
khaney ke liye muqader kiye hein.Baasi aur khamir wali ghizayein hergiz eistemaal
na ki jayein.Khaaney halkey pholkey aur zood hazam honey chahiyein.Jab bhi paani
piyein 3teen martabah
MARKOONA
ROKOONI |
مَرْکُوْنَ رُ کُوْنیِ |
Parh ker ke piyein aur zuhr ki namaz ke baad
eik tasbeeh parh ker eik pound khaaleis shehad per dam
karein.Yeh shehad din mein 3teen waqt subha naashtey se pehley,dopehar aur raat
ko khaaney se pehley eik eik chamchi eistemaal karein.Daant her waqt bilkol
saaf rehney chahiye khwaa manjan se kiye jayein ya meiswaak se.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.