Topics
Her waqt kuch na kuch sochtey rehney se,woh roshniyaan jo asaabi
nizaam banti hain,muntashir ho ker zayaa ho jati hain.Nateejey mein dimaagh ka
woh heisa jis per shaoori tahriqaat ka dar o madaar hey kamzoor par jata hey aur
jab yeh soorat waqey ho jati hey darawoney khowaab ziyadah nazer aatey hain.Ager
dimaagh ko kisi eik nuktey per markooz kar diya jaye to darawoney khowaab anaa
bandh ho jatey hain.Eis ke liye chaltey phirtey othtey
bethtey ,wazoo aur bagheir wazoo
"Asha nazeefatoon "
اَلشَّاۃُ نَظِیْفَۃٌ wird kartey hain.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.