Topics
Teen platon per likh ker eik subha ‘eik shaam aur eik raat ko pani se dho ker 90 din tak pilayein.T.B ke elaaj mein rangeen elaaj bhi bohat ziyadah moaser aur faaidah mand hey.Tajerbey mein yeh baat aayee hey ke nili shuaoon ke teil(oil) se galey hooye aur nakabil e elaaj pheprhon ko bhi poori tarhan sehat ho gayee hey.”Rang aur roshni se elaaj”mein eis marz aur eis elaaj per seir hasil tabsarah kiya gaya hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.