Topics
Koi taze ya zeherily dawa eistemaal karney se baaz auqaat khoon zeherila hojata hey.Eis se mareez ke jism per dadaurey parh jatey hain.Kabhi kabhi pit bhi uchal aatey hain.Aser gehra ho jaye tu mareez dimaagh ke ander chuban aur badan mein tashanuj mehsoos karta hey.Dawa ke eis muzir aser se behoshi bhi taari ho jati hey.Food poisoning ya kisi zehereley keerey maslan saanp,bechoo,bhirh ya shehed ki makkhi wagheira ke kantney se bhi ager khoon mutaasir ho jaye to eik martabah
parh ker pani per dam
ker ke mareez ko pilayein aur chikni matti ke dheiley per dam ker ke baar baar
songhayein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.