Topics

DAMMAA

Allah Tallah ke bayaan karda qanoon ke tehet aadmi dar asal roshniyoon ka majmooa hey.In roshniyoon ke ooper hi eis ki zindagi aur sehat ka daar o madar hey.Bohat se amraaz roshniyoon ke kami se peida hotey hain aur bohat se amraaz roshniyoon ki zayadati se wajood mein atey hain.

   Roshni eik keism ki nahin hoti balkey insaani zindagi mein doaur karney wali roshniyoon ki kismein bey shumar hain.Her roshni ka alag alag naam rakhna insaani fikr se bahar hey.Samajhney ke liye hum in roshniyoon ko mukhtalif rangoon ka naam de saktey hain.Yeh roshniyaan insaan ko kahan se milti hain aur insaani dimaagh per nazool ker ke kisi tarhan toothtee aur bekherti hain,tootney aur bikharney ke baad dimaagh ke liye arab khaliyey en se kis tarhan mutasir ho ker hawas ki takhleeek kartey hain,eis ka poora bayan” rang aur roshni se elaaj”mein moojod hey. Dama aur deeq alnafs ka marz roshniyoon mein adum tawazon ki bina  per hota hey.Woh roshniyaan jo poorey jism mein khoon ko gardish deney ki zimedaar hain en  mein tawazoon nahi rehta.Nateejey mein khoon ki kasafat jo masamaat ke zariyey nikalni chahiyey woh poori tarhan kharij nahin hoti aur jab yeh khoon poorey jism mein daur ker ke phephrdon mein puhunchta hey to phephrdon ki jaliyoon mein yeh kasfast jama hoti reti hey.Eis kasfast mein ibtada un  ta’afun peida hota hey aur phir virus peida ho jata hey.Jab phephrdey in khoord been se bhi nazer na aney waley keeron se bhar jatey hain to phephroon ka pumping system kharab ho jata hey,jeis ki waja se saans leney mein dushwari peish aati hey aur esi ko damey ka naam diya jata hey.Elaaj yeh hey.


Cheeni ki platon ya soney ke pahtrey per zardey key rang se mondaraja bala naksh likhain aur pani se dho ker din mein teen martabah pilayein.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.