Topics
Munder ja bala naksh momi kaghaz per likh ker peidayeeshi ke waqt hamalah ki seedhi raan mein bandhein Insha Allah wiladat aasani se hogi.
EHTIYAAT:-Yeh taaweez eis waqt tak raan mein na bandha jaye jab tak
wiladat ke aasaar shiroo na hon kyon ke tajerbey mein yeh baat aaye hey ke ager
asaar shiroo na hon aur taaweez bandh diya jaye to wiladat kabal az waqat ho jati
hey.Kabal az waqt peidaeish se bachey per bura aser parta hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.