Topics
Kitaab “RANG AUR ROSHNI SE ELAAJ” mein hum ne falij,poliyo aur
lakwey ke asbaab per tafseeli roshni dali hey.Mukhtasiran yeh samhajh lijiye ke
dimaagh ke ander roshniyoon ki eis takseem per hi dimaaghi,asaabi aur jeismani
sehet ka daar o madaar hey.Roshni ki row jab umm al dimaagh se guzerti hey aur
koi aisi waja ho jati hey ke us row ke dermiyaan cosmic rays aa jaye aur apni
jaga se kam az kam chaar inch dhahein jaanib hati hoyee ho to barki nizaam tabaah
ho jata hey.Eis ka aser kandhey se peir tak hota hey.Eisi ko falij ya poliyo ka
naam diya jata hey.
Lakwa ka talook
asaab se hey.yeh tanhaa umm al dimaagh ki waja se nahi hota dimaagh ke khalyoon
ki dermiyaan row jab eik taraf zaur dalti hey aur eis ka tassaruf chehrey ki keisi
simt mein ho jata hey to chehrey ke uzlaat ko terha ker deta hey eis ka aser
barah-e-rast kanon,aankhoon,naak aur jabrey per parta hey.Baaz auqaat
beenai bhi eis se mutaasir ho jati hey.Naak ki hadiyaan bhi terhi ho jati hain aur jabrey ka jo heissa dantoon ko sambhaley hooey hey woh bhi mutaasir ho jata hey.Eis ka elaaj yeh hey.
Khaney ke zard rang ko pani mein ghol ker roshnayee bana lein.Eis roshnai
se yeh taaweez teen adad cheeni ki platoon per likh ker subha,shaam aur raat ko
pani se dho ker pilayein aur yehi taaweez eisi rang ki roshnayee se chikney aur
motey eik balisht kaghaz per likh ker sir,guddi aur peshaani mein teen martabah
malein.Elaaj mein falij aur lakwey se mutallik perhaze jo sab jantey hain zaroory
hey.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.