Topics

NAZLA MUZMIN YA PAURANA NAZLA.

Aisa poorana nazla jeis ki bina per dimaagh mein se boo aati hey,naak band aur aankhein bhari rehti hon. Kanoon  mein aawazein aati hon.Mehsoos hota hey ke dimaagh mein koi cheez bhari hoyee hey.Wgera Wagera se nijaat hasil karney ke liye.

بِسْمِ اللّهِ الرَّحْمـَنِ الرَّحِيمِ

یَا مِیْکَائْیِلْ یَا اِسْرَافِیْلْ یَا سَمْوَائیْلْ یَا فَرْزَائِیلْ

kaghaz ya cheeni ki plaitoon per likh ker teen waqt paani se dho ker piyein.khaney mein aisi ghizaoon se perhaiz karein jo maidey ko kharab karti hain.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.