Topics
Cancer khoon ko nuksaan puhunchaney wala eik marz hey.Eis ki wajoohaat
mein chand wajhoo yeh hain.
Koi insaan jab eik,do ya chand khayalaat mein khod ko giraftaar ker
leta hey.To who barki ro jo khayalaat ke zariye banti hey,zehreeli ho jati hey.Yeh
zehreeli row choonkey khoon ke ander bhi zeher peida ker deti hey eis liye eis
row ke adum tawazon ki bina per khoon mein khord been se bhi nazr na aney waley
virus ban jatey hain.Yeh keerey keisi eik jaga ghar bana letey hain.Woh barki row
jo zindagi ke masruf mein ani chahiye in keeroon ki khuraak ban jati hey.Nateejey
mein khuraak ka choutey se chotta zarah jo barki row ke sath khoon mein dur
karta hey bajaye faaidey ke nuksaan puhunchata hey.In keeroon ki khuraak khoon
ke woh zaraat hotey hain jo surkh zaraat ya RBC keihlatey hain.Rafta rafta
mareez ke ander surkh zarraat khatam ho ker safiade zarraat ki kasrat ho jati hey
aur yeh jeism ke liye kabil-e-kabool
nahin rehtey.Chunachey yeh safaid zarraat luaab ya balgham ban ker
khaarij honey lagtey hain aur itnee miqdaar mein khaarij hotey hain ke aadmi
bilaakhir hadiyoon ka dhanchaa ban ker maut ke moonh mein chala jata hey.
Cancer ki doosri
keism yeh bhi hey ke zehreely zarraat eik jaga jama ho jatey hain.In ke jama honey
se woh ragein gal jati hain jo eis zakheerey ke kareeeb hoti hain.Nateejey mein
khoon nizaam mein eik bohat khlaa waqey ho jata hey aur eis se maut waqey ho jati
hey.
Yeh to hooey
cancer ke mazharaat ya zahiri alamaat.Ab suneeye ke ilm e roohani ke roo se
cancer eik aisa marz hey jo shareef alnafs aur ba ikhtiaar hey,sunta hey aur hawaas
rakhta hey.Ager eis se dosti ker li jaye aur kabhi kabhi tanhayee mein ba shartey
ke mareez gehri neend so raha ho,us ki khoshamad ki jaye aur yeh kaha jaye
“miyaa cancer! Tum achey ho,bohat
meherbaan ho.Yeh aadmi bohat pareshaan hey.eisey maaf kerdo,Allah Tallah eis ki
jaza dey ga”.To cancer mareez ko chaurh deta hey aur dost daary ka saboot deta hey.
Alawah azeen
surkh rang mein jo barki row daurti hey wohi cancer ki khuraak hoti hain.Eis
liye khoon ke surk zaraat ke ander daurd karney waley barki row cancer ki khaurak
ban jati hey aur cancer ka mareez zindagi ko qaim rakhney wali barki row se
mehroom ho ker khatam ho jata hey.Jo ke khoon mein daur karney wali surk barki
row hi cancer ki khauraak banti hey eis liye eis baat ka ehtimaam kiya jaye ke
mareez ke mahool ko poori tarhan surkh ker diya
jaaye.Maslaan jeis kamrey mein mareez ka kayaam hey eis kamrey ki diwaarein, derwazey aur khirkiyoon ke pardey,palang ki chaaderein,takiyeh ke ghilaaf hata ke mareez ke pehenney waley kaprdey sab surkh ker diye jaein.Eis ke saath saath khaney ka surkh rang pani mein ghoul ker roshniyaan banalein.Eis roshniyoon se
41Ikhtalees taaweez
likhey jayein.Eik taaweez mareez ke galey mein mustaqill parda rehney dein aur
baaki 40echalees taaweez rozana eik ke heisaab se chalees roz pani se dho ker pilayein
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.