Topics
Dimaagh uljhan aur nervousness ko khatam karney ke liye khaney mein namak ki miqdaar kam ker ke chothai ker deni chahiyey.Elaaj ke liye keisi moomi kaghaz ke eik tukrey per zafran aur ark-e-gulaab se
likh ker eik pound shehed
mein dal dein.Yeh shehd eik eik chamcha teen martabah rozana khayein.Jab
tak shehat pauri tarhan bahal na ho eis elaaj ko tark na karein.
KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI
Shak aur be yaqeeni ke toofan
se peida honey wali taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko
yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.
Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka
elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia,
Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat
ki zakaat adaa ki hai.
Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es
roohani faiz ko aam karta hoon aur sayadna
huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah
taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat
ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.