Topics

PAIRYA

Yeh baat zehn nasheen rehna chahiye ke dantoon ke amraaz ka taaluk baraah e rast maidey se hota hey.Maidey ka nizaam ager saheeh rahey aur dantoon ki safai ka poora ehtimam kiya gaya jaye to dantoon ke amraaz nahi hotey.

  Pairiya mein masoorhon ke ander ratoobat jama ho ker sar jati hey aur phir yeh ratoobat peep miley khoon ke sath khaarij hoti rehti hey.Bohat na muraad marz hey mushkil se peecha chorta hey.Meidey ki durastigi aur danton ki safayee ke intizam ke sath sath subha suraj nikalney se pehley eik arsey tak palak ke patey per “ILA AJALIN MUSAMA”  اِلیٰ اَجَلٍ مُسَمّٰی eik martabah dam ker ke palak ko khoob chabaya

jaye.Chabatey waqt eis baat ka khayal rakhey ke luaab halak ke ander na jaye.Palak ke patey ko achi tarhan chaba kar thook dein.eis amal ko din mein teen martabah dohrayein aur her martabah yake baad deegerey eik eik pata ley ker teen patey chabayein.Eis amal ke adhey ghantey baad tak na koi cheeze khayein na piyein.

Topics


ROOHANI ELAAJ

KHWAJA SHAMS-UD-DEEN AZEEMI

Shak aur be yaqeeni  ke  toofan  se peida honey wali  taqreeban doso 200 beemariyon aur masaail ko yakjaa kar ke es kitaab mein un ka hal shaaya kiya ja rahaa hai.

Kitaab “Roohani Elaaj” mein jitney bhi amraaz ka elaaj aur masaail ka hal peish kiya gaya hai, Who sub mujhey silsila e uwaisia, Qalandaria, Azeemia se muntakil hooye hain aur es faqeer ney en sub amaliyaat ki zakaat adaa ki hai.

Mein allah ki makhlooq ki khidmat ke liye es roohani faiz ko aam karta hoon aur  sayadna huzoor alleh es salaato wa salaam ke waseela se dast ba duaa hoon ke allah taala meri koshish ko sharf e qubooliyat bakhshein aur apney bandon ko sehat ataa farmaayein mushkilaat o masaayeeb aur pareeshaniyon se mehfooz rakhein.